Clerkiat

Metric paas kuliya ya'ani
Nokree kurnay ja raha hoon main
zinda rehnay ki aarzoo hay mugur
khudkushi kurnay ja raha hoon main

Duftar-e-rozgaar main kub tuk
Jhirdkiyan kha-ain intizar kurain
Kyon na aye hum nasheen ye faqa kush
aik undhay kunway main doob marain

Meri tunkhwah poochtay hain aap
Aik-so-bees mujh ko miltay hain
Ussee nawway to qarz khwahon kay
Tees chaalis mujhko miltay hain

Raat din bus yeh fikr rehtee hay
Qurz kyon kur ada kiya ja-aye
Jo yeh aalum hay to dafatir main
Furz kyon kur ada kiya ja-aye
Raat din bus yeh fikr rehtee hay
Qurz kyon kur ada kiya ja-aye
Jo yeh aalum hay to dafatir main
Furz kyon kur ada kiya ja-aye

Dus ropay us kay bees hain uskay
Samnay ik kitab hay goya
Tees din zindagi kay guzray hain
Aaj yom-ul-hisab hay goya

Mere masoom, zid na kur itnee
Cheez khanay ko tujh ko kya doon main
Subh hogee to kuchh khilaon ga
Aa, idhur aa, tujhay sula doon main

"Aik raja tha, aik rani thee"
Jhootay qissay suna raha hoon main
Raat ka aik buj chuka hay mugur
Bhookay buchay sula raha hoon main

Un ujaa-ib kudon ka dunya nay
Ik huseen naam rukh liya duftur
Zinda durgor hain jahan insaan
Aur munkir nakeer hain ufsur
Saaf suthree bisat-e-duftur pur
Aik terhee lukeer hain kuchh log
Un kee shaistagee ka kya kehna
Aap upnee nazeer hain kuchh log

Jee nahin chahta hay janay ko
Phir bhee duftur ko ja raha hoon main
Kon sa woh gunah tha ya rub!
Yeh saza jis ki paa raha hoon main

Aap zinda sumujh rahay hain mujhay
Main to bay mot mur chuka kub ka
Sirf gurd-o-ghubar baaqee hai
Qafla to guzar chuka kub ka

Boorhay maan baap ka sahara hoon
Beewee buchon kay dil kee aas hoon main
Meri janib bhee ik nazar ya rub
Aaj behud udaas udaas hoon main

Dufturee zindagi uray tauba!
Khwajgi bundgi uray tauba!
Shayeri aur pa-ba-zunjeeree
Meri deewangee uray tauba!
back to index of ehad-aafreen
Home
(C) Copryrights Reserved by Author
Hosted by www.Geocities.ws

1