Na chher aye dil-e-mubtila, sun liya
Buhat hum nay tera kaha sun liya

Wo roo-e-sukhan ho kisi ki taraf
Na sunna tha jo bur mala sun liya

Humaree khamoshee ka kya poochhna
Keh jo kuchh bhee sunna para sun liya

Giran goshi-e-ahl-e-duniya na poochh
Ke jaisay mera mudd'a sun liya

Dil-e-durd mund-e-muhabbat ki khair
"Zaman hay nazuk" yeh kya sun liya

Wohi jo muhabbat say be zaar thay
Unhain bhee useer-e-bala sun liya

Na socha na sumjha na dekha mugar
Yaqeen aa gaya jub "khuda" sun liya

Ye sumjho keh dono jahan mil ga-aye
Jo Rahi kalaam-e-Ata* sun liya

* Persian poet Ata Ullah Khan Advocate DI Khan
back to index of ehad-aafreen
Home
(C) Copryrights Reserved by Author
Hosted by www.Geocities.ws

1