Jis turha huwa, jis taur huwa, yeh nung gawara ho to gaya
Jee jee kay muray, mur mur kay jiyay, dunya main guzara ho to gaya

Aawara sahi, naakara sahi, deewana sahi, tum sa na sahi
Khud upna sahi main ya na sahi, kya fikr tumhara ho to gaya

Mubhim hee sahi, waazeh na sahi, ik baar sahi, paihum na sahi
Itnee bhee tawajjo kya kum hay kuchh un ka ishara ho to gaya

Ub doobain keh ubhrain kuchh bhee ho saahil ki tamanna kon karay
maujon ki siyasut dekh to lee, toofan ka nazara ho to gaya

Is fikr main hoon, is soch main hoon, unjaam-e-baharan kya hoga
Hur shakh-e-nushemun jul to gaee, hur phhool shurara ho to gaya

Is daur-e-taraqqee main insaan khud upnee haqeequt pa na saka
Fitrut ko musakhar kur to liya, dunya pe ujaara ho to gaya
back to index of ehad-aafreen
Home
(C) Copryrights Reserved by Author
Hosted by www.Geocities.ws

1