back to index of ehad-aafreen
(C) Copryrights Reserved by Author
Hur saans main shamil rehtay hain, hur khwab sunwara kurtay hain
Kya kya na humaaree khatir wo tukleef gwara kurtay hain

Sujdon say talaafi ho kyun kur, hairan-o-pureshan hai khud sur
ik bojh jo hota hai dil pur kaisay wo utara kurtay hain

Hur haal main hain raazi-ba-raza, hum ahl-e-yuqeen hum ahl-e-wafa
hay kaun humara tere siwa, tujh hee ko pukara kurtay hain

kya jaaniyay kya hay qismut main aye shakh-e-nushaimun khair teri
bijlee bhee bahut kuchh kehtee hai badul bhee ishara kurtay hain

ik mauj qyamut dhaatee hai ik mauj sahara deti hay
toofan hee dubotay hain kushtee toofan hee ubhara kurtay hain

Ihsas kahan phhaink aye-n hum, ulfaaz kahan say laye-n hum
kis dil say tujhay sumjha-aye-n hum, jo kuchh bhee nazara kurtya hain

jo azm kay paikar hain wo log hee Rahi burtur hain
wo bay hiss kunkur puthhur hain jo waqt guzara kurtay hain

Jan-baaz kahan iss duniya main laikin yeh haqeeqat hai Rahi
Kuchh haar kay jeeta kurtay hain kuchh jeet kay haara kurtay hain
Home
Hosted by www.Geocities.ws

1