zafaR aaDmi usko na JaaniyeGaa ho woH kaiSa bhi saaHeb-e-feHm-o-zaKaa
Jisey aiSh mey yaaD-e-kHudaa na raHi jiSey taiSh mey kHauf-e-kHudaa na raHaa
yaaR tha, gulZaar tha, mAi tHi, fiZa tHi , mAi na tHa
laaeq-e-paabos-e-JaanaN kYa hiNa thi mAi na tHa
mAi sisakTa reh gaYa maR gayey faRhaad-o-qAis
kYa unHi doNoN key hiSSey mey Qaza thi, mAi na tHa
mAi ney poocha kYa hua woH aap ka husn-o-sHabaaB
HaNs key bolaa woh sanam Shaan-e-kHuda thi , mai na tHa
Ai zafaR ye diL pey meRey daaGh kaisa reH gaya
kHaana baaGh-e-yaaR meiN kHulq-e-kHuda thi, mai na tHa
zulF key saaYe taley woh rUkh agaR cHup jaayeGa
raaT key paRdey mey pHir rooYe seHeR chup jaayeGa
kHwaab-e-gHaflat sey teri jiS waQt kHul jaaYegi aaNkh
hai jo kUch aankHoun key aaGey jalwaGar cHup jaayeGa
taaK meiN haiN aaj saaRey gHamzah-o-anDaaz-o-Naaz
In naZarbaazouN sey dil bacH kar kiDhar chuP jaayeGA
Kisi ney uS ku samjHaya to hoTaa
Koi yaaN taK uSey laaYa to hoTaa
jo kucH hoTaa so hoTaa tooNEY taQdeer
waHan tak mujH ko paHunchaya to hoTaa
sUn key Naala aur joSh-e-GirYaa meraa dekh kaR
aasMaN par aBr kaDkaa aur kaDak kar reH gaYaa
haR naFaS uS daaman-e-MijZGaaN ki jumBisH sey ZafaR
diL meiN ek shOlaa sa bhaDka aur bhaDak kar reh gaYaa
|