|
Funny Shaiery |
| nakam muhabbat ka har eik dukh
sehna.. .har haal main anjam se darte rehna Qudrat ka barra anjam hai jaidi........ mehbooba ki olad ka "mamoon" kehna! Shaier Of The Month
|
| Teray husn ki kia taareef karoo?tera bander jaisa mu Teri zulfo ki kia tareef karoo?teray ek ek baal pe joon |
| Mohabbat mujhay un jawano se hai Jo khatay peetay gharano se hain |
| Aj bagh may kali hai, kal gulaab ho ga Mujh se shadi karlo,tum ko sawab ho ga |
| Itnay dino se jalanay nahi aya Jalti hui aag ko bujhanay nahi aya Kehta tha saath jiyen gay saath marain gay Ab rooth gai hoon to ullu ka patha mananay bhi nahi aya. |
| Ghar se roz jata hai wo, Maa ko bohot rulata hai wo Kambakht baap, Sab ko hi satata hai wo |
| Hathi nay kaha ja kar hathni ki kabar per Sadqay jaoo tumhari patli kamar per |
| Tum bhi becahara,hum bhi becahara Fittay mu tumhara,fittay mu hamara |
| Hum nay usay dekha angle badal kar Us nay hamay mara sandle badal kar |
| Dil kay armaa aanso'oo may bah gaye Un kay bachay hamay mamu kah gaye |
| Hum nay tumhay dil diya dildar samajh kar Tum kha gaye is ko naswaar samajh kar |
| Dabbay may dabba dabbay may khargosh Nana nay aankh mari nani behosh |
| Khuda karay sab haseenaao ke baap mar jaeen Maut ka bahana ho aur hum in kay ghar jaeen |
| Ishq kay samander main ghota lagaya Pani both thanda tha main bahar nikal aya |
| Un ki gali say guzray,ajab ittefaq tha Unho nay phool phanka,gamla bhi saath tha |
| Log kehtay hain kayamat kay din marr jaeen gay Hum bhi bohot chalaak hai,mangi thallay war jaeen gay |
| Mera dil para hai loose Is ko matt karo tum use Warna parain gay tum ko shoes |
| "Sahib Zaday kiya karte hain" Larki Waloon ne poocha "Jab dekho farigh phirte hain ya tambako pite hain" Larkay ki amman yeh bolin....kam kare us ki joti "do bhai bhatta lete hain--abba khair se daku hain" |
| Kon kehta hai pyaar may pakray jaeen gay? Waqt aanay per behen bhai ban jaeen gay |
| Rat ka waqt hai or masjid hai qareeb uthiye jaldi se ke peghame amal laya hoon ghar main hain filhal jitne bhi purane jote aap bhi jake badal lain main badal aya hoon |
| or bhi chizain lut chuki hain dil ke sath yeh batayen doston ne ishq farmane ke baad is liye kamre ki eik eik chiz check karta hoon main " eik tere ane se pehle eik tere jane ke baad"
|
| dil karta hai keh uss kay nazook hontoon koo chuum loonnnnn magar uss kee behteee hooyee naak nay meraa iradaa hee badal diyaaa
|
| bhains rakhne ka takalluf hamse ho sakta nahin ham ne sokhe doodh ka dabba jo hai rakha hua ghar main rakhain ghair mehrm ko mulazim kis liye kam karne ke liye abba jo hai rakha hua
|