URDU POEMS

 

dekh kar us hasiin paikar ko
nashaa-saa aa gayaa samandar ko

[paikar = form/appearance]

Dolatii Dag_magaatii-sii naav
pii ga_ii aa ke saare saagar ko

Khushk pe.Do.n me.n jaan pa.Dane lagii
dekh kar ruup ke samandar ko

[Khushk = dry]

bahar pyaase kii justajuu me.n hai
hai sadaf kii talaash gauhar ko

[bahar = ocean; justajuu = search]
[sadaf = oyster; gauhar = pearl]

ko_ii to niim_vaa dariicho.n se
dekhe us rat_jage ke manzar ko

[niim_vaa = half-open]

ek devii hai muntazir 'faariG'
vaa kiye paT sajaaye mandr ko

[muntazir = waiting; vaa = open]


!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!

dekh lo Khvaab magar Khvaab kaa charchaa na karo
log jal jaayenge suuraj kii tamannaa na karo

vaqt kaa kyaa hai kisii pal bhii badal sakataa hai
ho sake tum se to tum mujh pe bharosaa na karo

kirchiyaa.N TuuTe hue aks kii chubh jaayengii
aur kuchh roz abhii aa_iinaa dekhaa na karo

[aks = reflection]

ajanabii lagane lage Khud tumhe.n apanaa hii vajuud
apane din raat ko itanaa bhii akelaa na karo

Khvaab bachcho.n ke khilauno.n kii tarah hote hai.n
Khvaab dekhaa na karo Khvaab dikhaayaa na karo

be-Khayaalii me.n kabhii u.Ngaliyaa.N jal jaayengii
raakh guzare hue lamho.n kii kuredaa na karo

mom ke rishte hai.n garmii se pighal jaayenge
dhuup ke shahar me.n "Aazer ye tamaashaa na karo

[mom = wax]

NEXT

Hosted by www.Geocities.ws

1