.
.... Jab Hum Chhote The ....

This track is from the album Sunoh. This song has been written by Aslam and has been performed by Lucky Ali and Mike Mcleary.

/Book Mark Us !!

---- Listen the song ---- Watch the video ----

---- Last Song ---- Next Song ----

Sunoh * Sifar * Aks * Misc.

.
T
he lyrics of the song goes like......


Jab hum chote hote they, socha tha ki yeh aisa hoga
Yeh zamaana kyon aisaa hai, meri jaan
Ab hum bade ho gaye 
Dekha hai ki yeh aisaa hai, yeh zamaana kyon aisaa hai
Meri jaan...

Rastey hain wohi, hai to pyaar ki kameen
Main jo dhoondta hoon mile kahan
Yeh kal to ek bahaana, zamaana
Sab ko kuch na kuch kar ke dikhana
Gulshanon ki kamee hai
Zindagi kaaton se bani hai
Nafratein bhi hain yaheen
Aur pyaar ki kamee
Rahi dhoonde kya tu ab yahan

Badley mausam, badley hum jaane ab anjaane ho gaye
Jaan kar hum ho gaye anjaane josh zyaada hosh kam
Hairaan hain, pareshaan hai sab
Qayamat nahin to yeh kya hai, meri jaan.....

Yeh zameen yeh aasmaan, phir milenge do jehaan
Banega phir se naya aashiyaan
Imtihaan ki ghadi hai, sahi hai
Jaise yeh din raat sey judi hai
Jisne jaana usi ne pehchaana
Sadaa yeh dil ki usi ne suni hai

Raaste khule vaheen hai nayi ye zindagi
Rahi chal diya hai tu ab kahaan..

,

 

Copyright � 2001 Saurabh Garg All rights reserved. * Other legal notices * [email protected] * Sponsor Us
page views since 17/03/2001

Hosted by www.Geocities.ws

1