thought space
provided by khalid shuja
Home | Islam | Thoughts | Poetry | Ash'aar | Links | Feedback

News

On Islam

Thoughts

Poetry

Ash'aar

Links

Feedback

ai raushniyon ke shehar
- Faiz Ahmed 'Faiz'

sabza-sabza sookh rahi hai pheeki, zard dopehar
deevaron ko chaat rahaa hai tanhai ka zehar
door ufaq tak ghat'ti, barhti, uth'ti, girti rehti hai
kohr ki soorat beraunaq dardon ki gadli lehar
bastaa hai is kohr ke peechhe raushniyon ka shehar

ai raushniyon ke shehar
kaun kahe kis samt hai teri raushniyon ki raah
har jaanib benoor kharhee hai hijr ki sheharpanaah
thak kar har soo baith rahi hai shauq ki maand sipaah

aaj mera dil fikr men hai
ai raushniyon ke shehar
shabkhoon se munh pher na jaaye armaanon ki rau
khair ho teri lailaaon ki, un sab se keh do
aaj ki shab jab diye jalaaen, oonchi rakhen lau


Other Gems by Faiz Ahmed 'Faiz':
roshniyon ke shehar
heart attack
yahan se shehar ko dekho
tanhaai
lahoo ka suragh
mujh se pehli si muhobbat
khatm hui baarish-e-sang
farsh-e-naummeedi-e-deedaar
yaad ki rahguzar
gulshan-e-yaad men
na ganvaao navak-e-neem shab
Some Other Couplets

Back to Top | Home | Islam | Thoughts | Poetry | Ash'aar | Links | Feedback

© 1998-1999 Khalid Shuja. All rights reserved.
Last modified : June 20, 1999.
Hosted by www.Geocities.ws

1