This website is best viewed with Microsoft Internet Explorer 5.0 or more with 800 X 600 pixels and 16-bit color. Click here to get help on these topics.

.... Lyrics ....page01

Select one of the following songs.............
.
.
.
O Sanam Sunoh Pyar Ka Musaphir Aap par Arz Hai Milegi Milegi
.
.
.
.
.
O Sanam

.3:40 min

Lyrics by Aslam performed by Lucky Ali and Michael McCleary
.
Shaam savere teri yaadein aati hain
Aa ke dil ko mere yoon tadpati hain
O sanam, mohabbat ki kasam...

Mil ke bichadna to dastoor ho gaya
Yaadon mein teri majboor ho gaya
O Sanam, teri yaadon ki kasam...

Samjhe zamana ki dil hai khilona
Jaana hai ab kya hai dil ka lagaana
Nazron se ab na hum ko giraana
Mar bhi gaye to bhool na jaana...

Aankhon mein basi ho, par door ho kahin
Dil ke kareeb ho ye mujhko hai yakeen
O Sanam, tere pyaar ki kasam...

Pyar key safar main aati dhoop chaon hai
Manzil na jaane kaun sey gaon hai
O Sanam tere pyar ki kasam....

top of the page

.
.
.
.
.
Sunoh

4:59 min.

Lyrics by Aslam performed by Lucky Ali and Michael McCleary
.
Ruswai, hewafai kar ke kar lo intehai ab

Sun lo, sun lo jaan lo ise ab, sunoh
Mohabbat ko zamane mein masli hi hai,
Sab sunoh, sunoh
Jaano ise, pehchano ise
Hum sa hai kaun, na mano ise

Aye mohabbat, tu reh gayi anjaani
Yeh deewani jawaani, tujhe nahin pehchaani
Tune jab pukara, sab ko tune samjhaaya
Sab ne ki manmaani, tujhe nahin pehchaani

Pal do pal ke duniya saari Aye musafir chalte jaa
Chalte chalte raahon mein tu Pyaar mohabat baante jaa
Aayega kal khushiyon wala Teri haqeeqat tu jaaney
Huen hai sab hain anjaaney Mitti mein sab mil jaayega
Sirf pyaar hi reh jaayega

Sunoh, sunoh, sunoh

top of the page

.
.
.
.
.
Pyar Ka Musaphir

3:22 min.

Lyrics by Aslam and Arif Dehlvi performed by Lucky Ali and Michael McCleary
.
Main hoon pyaar ka musafir Dil khush hai aaj mera
Jahan mile mohabbat Waheen mera basera

Mujhko mile safar mein Kuch dhoop kuch savera
Yeh aarzoo hai paaoon Kuch chaoon kuch savera

Manzillein meri door hain kahin Lagta nahin dil mera yahan
Mujhe jaane do wahan

Jahan hota ho savera Mile un se dil mera
Na ho gum na darr kisi ka Aur saathi hoga mera
Aisi hi khushi Milley har kahin
Sambhaley kadam mere wahan Mujhe jaane do wahan

Mujh ko to yeh yakeen hai Manzil meri kareeb hai
Jo dhoondhay mera dil Aaspaas yahin kahin hai

Chaahatein meri, poori ho gayi Mil gaya mujhe woh aashiyaan
Mujhe jaane do wahan...

top of the page

.
.
.
.
.
Aap Par Arz Hai

3:15 min.

Lyrics by Aslam performed by Lucky Ali and Michael McCleary
.
Aap par arz hai laakhon karodon arbon salaam
Aap na hote to yeh dil, jaane kisko deta dua

Aap ki inayatein, aap ki hidayatein
Aap ki yeh bande nawazi, aap ka woh sharmilapan
Lehratey jaaon, muskatey jaoon
Dil ko main apne samjhatey jaoon

Aap par arz hai laakhon karodon arbon salaam
Shaam savere na aao nazar
Kudrat ki dhoondhon main aisi dagar
Kis ko sunaaoon mein haal e jigar
Tadpa hoon main to saari umar
Lehratey jaaon, muskatey jaoon
Dil ko main apne samjhatey jaoon

Aap par arz hai laakhon karodon arbon salaam
Aap na hote to yeh dil, jaane kisko deta dua

top of the page

.
.
.
.
.
Milegi Milegi Manzil

3:30 min.

Lyrics by Aslam performed by Lucky Ali and Michael McCleary
.
Milegi milegi manzil Chalke kahin door
Aaye hain chale jaane ko Aaye hain chale jaayenge
Door majboor door majboor

Milegi Milegi

Kaisi hai yeh duniya Pyaar ka namo nishaan nahin
Nadaan duniya waley dekho Yahaan pey koi imaan nahin
Akeley dhoondhtey Savera savera
Savera savera aayega chal ke do kadam
Faasley ghat jaayenge hosley badh jaayenge
Chal ke do kadam

Milegi Milegi

Chaltey duniya wale saarey Rah magar anjaan kahin
Main to hoon deewana meri deewangi benaam sahi
Akeley dhoondhtey mohabbat mohabbat
Mohabbat mohabbat milegi chal ke do kadam
Saathi se mil jaayenge baharein phir khil jaayenge
Chal ke do kadam

Milegi Milegi

top of the page

Move back a page............move to the next page

Coming up :: Flash version of the website.

Copyright © 2001 Saurabh Garg

Mail || Contact || About webmaster || Privacy Policy || Our Sponsors

Hosted by www.Geocities.ws

1