Abhi uljhi hein mere khoon ki bondain...
abhi ujhli hain mere khoon ki bunde hawayun main
koi khanjar laga hain aake meri dono vanho main.
mujhe takleef hain lakin khushi bhi sath hai itni
mujhe maloom hai ab hain mere dushman fizaon main.
kahan ab roshani hogi, kahan se chand niklega
simat kar rah gayee hai puri sab jabki ghataon main.
karuan kaise yaqeen unka jo hain mustaheb mere
zahar sa ab ghula hota hai unki har adaaon main.
wo aayega zaroor aur bahut tezi se aayega
zara paida to kar MAHAK kashish apni sadaon main