Na Pahucha Abhi Main...

na pahucha abhi main manzil talak, dheere dheere waqt yu jata raha
rasta bhi gaya jaise tham sa magar, main kadam dheere dheere barata raha

maine socha tha hoga vishal-e-sanam, aaj tutegi meri hizr-e-ghari
vo na aaya magar uski yadoan mai main, raat bhar apne ghar ko sajata raha

usne dhoka diya tora vada magar,nusko kuchh bhi na hua khuda ki kasam
dard aisa utha dil mein mere yahan, jiski aah mein main bas karhata raha

vo na aaya na aayega dekho MAHAK, uske vade ki ab intehan ho chali
uski yadoan mai ab subah hone ko hay, raat bhar to main dil ko jalata raha

Hosted by www.Geocities.ws

1