Geet
Sadhana Ka Path
Kathin Hai (audio)
(Keeping promises is
not easy)
Shapath lenaa to saral hai, par nibhaanaa hi kathin
hai x 2
Sadhana ka path kathin hai x 2
Shalabh bun jalnaa saral hai, prem ki jalti shikha
par x 2
Swayam ko til til jalaa kar, deep bun-naa hi kathin
hai x 2
Sadhana ka path kathin hai x 2
Hai achetan jo yugo se, leher ke anucool bahte x 2
Saath beha-naa hai saral, praticool beha-naa hi kathin
hai x 2
Sadhana ka path kathin hai x 2
Thokare khaa kar niyat ki, yugo se jee rahaa
maanav x 2
Hai saral aansoo bahaanaa, muskuraanaa hi kathin
hai x 2
Sadhana ka path kathin hai x 2
Tap tapasyaa ke sahaare, Indra bun-naa to saral hai x 2
Swarg kaa aishwarya paa kar, mud bhulana hi kathin hai
x 2
Sadhana ka path kathin hai x 2
Shapath lenaa to saral hai, par nibhaanaa hi kathin
hai x 2
Sadhana ka path kathin hai x 3