Bhajan
Daya kar daan
bhakti ka
Daya kar daan bhakti ka, hamen
parmatma dena,
daya karna hamari aatma mein shudhta dena.
Hamare dhyan mein aao, prabhu aakhon
mein bas jao,
andhere dil mein aa kar ke param jyoti jaga dena.
Daya kar daan bhakti ka …
Baha do prem ki ganga dilomein prem
ka sagar,
hamein aapas mein miljul kar, prabhu rehna sikha dena.
Daya kar daan bhakti ka …
Hamara karam ho seva hamara dharma
ho seva
sada imaan ho seva, sevakchar bana dena.
Daya kar daan bhakti ka …
Vatan ke vaste jeena, vatan ke vaste
marna,
vatan par jaan fida karna prabhu hamko sikha dena.
Daya kar daan bhakti ka …