Sohail Qureshi

Student of BS Software Engineering
Virtual University
I am Sohail Qureshi and i am the student of virtual university. Virtual university gives the platform to the people to fulfill their dreams and just as it provide me the chance to fulfill my dreams, now i want to be the software engineer. After ten years I want to see myself as a successful software engineer In Sha Allah and want to take this field to the next level in Pakistan .I want to be the great as my teachers are. I want people to know me as a Pakistani engineer.
[email protected] .

My Websites...

http://ngosystem.orgfree.com/

https://sohail830.wordpress.com/

http://www.geocities.ws/sohail03/PoetryCollection.html

https://sohail830.wordpress.com/"Poetry"

“HAMEIN TUM SE MOHABBAT HAI”

 

Hamein tum se mohabbat hai, hamara imtihaan le lo,

Agar chaho to dil le lo, agar chaho to jaan le lo.

Hamein tum bhool mat jaana, ye ik faryaad karte hein,

Wafa ki shart se bhi hum tumein, azaad karte hein,

Zubaan bhi hum na kholeinge, yeh tum hum se zubaan le lo.

Hum apni jaan de kar bhi, mohabbat ka bharam rakh lein,

Tumhare dil pe koi bhojh ho, to sar pe hum rakh lein,

Khizaan ke ghum hamein de do, bahaaron ka sama le lo.

Zamaana kuchh nahin hai, sirf ik rangeen dhoka hai,

Tumhare pyaar pe lekin, hamein poora bharosa hai,

Zara si dil mein bas de do, jagah, saara jhaan le lo.

Hamein tum se mohabbat hai, hamara imtihaan le lo.

 

-----------------------------------

“MERI PEHLI MUHABAT HAI”

 

Zara Sa Maan Rakh Laina Meri PehLi Muhbat Hai

Sitam Tm Soch Kar Karna Meri PehLi Muhbat Hai

Agr Janay Ki Zid Hai To ChaLay Jao Mgr Sun Lo

JaLdi Loat K Aana Meri PehLi Muhbat Hai

Jigar K Khoon Se Likh Kar Tujhe Paigam Bheja Hai

Ik Ik Lafz Ko Parhna Meri PehLi Muhbat Hai

Mit Jaon Ga Duniyan Se Mje DiL Se Mitana Mat

Sada DiL Me Mujhe Rakhna Meri PehLi Muhbat Hai.

----------------------------------

"=KOI TUM SE POOCHAY KON

HOON MAIN="

 

Tum Keh Dena Koi Khaas Nahi,

Ek Dost Hy Kacha Paka Sa,

Ek Jhoot Hy Aadha Sacha Sa,

Ek Khwaab Adhoora Poora Sa,

Ek PhooL Hy Rookha Sookha Sa,

Ek Sapna Hy Bin Socha Sa,

Ek Apna Hy

Un Dekha Sa,

Ek Rishta Hy

Anjaana Sa,

Haqiqat Me Afsaana Sa,

Kuch Pagal Sa

Deewana Sa,

Bus Ek Bahana Acha Sa,

Jeevan Ka Aisa sathi Hy,

Jo Door Ho To Kuch Paas Nahi.

"KOI TUM SE

POOCHY KON HON MAIN”?

"TUM KEH DENA KOI KHAAS NHI”

----------------------------------

“KAISEY DOST HO TUM”

 

Chalo Main Bataon! Kaisey Dost Ho Tum,,,

Meray Liye..! Meri Duniya Ho Tum,,

Choo K Jo Guzri Wo Hawa Ho Tum,,

Main ne Jo Mangi.. Wo Dua Ho Tum,,

Karey Mujhe Jo Roshan Wo Diya Ho Tum,,

Meray intizar Ki Rahat Ho Tum,,

Meray Dil Ki Chahat Ho Tum,,

Tum Ho To... Ye Duniya Hai Meri,,

Kaisey Kahon! k Meri zindagi Ho Tum,,

Kar Sako Yaqeen To.. Bataon Tumhein?

Boht khas, Boht khas , Boht khas Ho Tum!.

 

----------------------------------

"!Suno Jana!"

Suno jana

Palat ana! K koi yad karta he,

Tumhain awaz deta he,

Tumhe khush dekhne k waste

Apny dil-e- muztir ko jo na shad karta hy,

Tumhari ik jhalak k waste

Galiyo mai,

Raston mai ,

Subha sy sham,

Din se rat karta hy,

Jinhe tum sy aqidat hy,

Teri be los chahat hy,

Tumhe takne ki hasrat hy,

JINHAIN TUM SE MUHABBAT Hy,

Unhain kuch waqt dete hain,

So gar mumkin ho kuch aisa?

To un ki chah ki khatir,

"SUNO JANA! PALAT AnA! K KOI YAD KARTA HY....

----------------------------------

“MASOOM DIL”

 

Meri zindge ka ek tamasha bana diya usni,

Bhari mahfil min tanha bitha diya usni,

Aise kia the nafrat usko es masoom dil si,

Khushyan churakar gham thama diya usni,

Buhat naaz tha uske waf pi kabhi,

Mujhko he meri nazron min giradya usni,

Khud bewafa tha meri wafa ka kia qadr karta,

Anmol tha min khak min mila diya usni,

Kise ko yaad karna to uske fitart min shamil nahin,

Hawa ka jhonka samjh kar mujhko bhuladya usni..

----------------------------------

“ MOHABBAT HUM NE KI ’’

 

Mohabbat hum ne ki jo ik khata hogai

Ki wafa or zindagi saza hogayi,

Wafa kerte rahay hum ibadaton ki tara

Phir ibadaat khud ik gunah ban gayi,

Kitna suhana tha safar jab sath thay hum

Phir kiya howa kyon manzil juda hogayi,

Koi chahat koi hasrat koi umeed nahi rahi

Wo gaya tu laga dunya fana hogayi,

Ye dua ki ke jisay chahe wohi milay osay

Par ye dua apne liye bad dua hogayi,

Abhi kuch dair howi usay yaad karte howay

Ye aaj kyon itni jaldi subah hogayi ?

----------------------------------

“ AAS “

 

 Ek aas lagana chahty hain,

Tery dar py aana chahty hain,

Kuch nazr-e-karm ho hum py agar,

Ham sar ko jhukana chahty hain,

Kia dogi humain sare khushyan,

Ham daman ko philana chahty hain,

Teri khandy py sar rakh kar ham,

Gham apna sunana chahty hain,

Tum kia chahogi hamsy kaho,

Hum khud ko mitana chahty hain...

----------------------------------

“ MERE BE-RABT KHAYALAT “

 

Mere Be-rabt Khayalat me Kia rakha Hai

Main tO Pagal hOn Meri Baat me Kia rakha Hai

Baandh rakha Hai Teri Yaad Ne maazi Se Mujhe

Warna Guzray Huway lamhaat me Kia rakha Hai

Meri takmeel teri Zaat Se Hi Mumkin Hai

Tu Alag hO tO meri Zaat me Kia rakha Hai

Yeh Shab-O-roz tere Dum Se Hi Tabinda Hain

Warna in Gardash-e-Halaat me Kia rakha Hai

UMAR BHAR Sath Nibhao tO Koi Baat Banay"WASI"

Chand lamhOn ki Mulaqat me Kia rakha Hai..!

----------------------------------

“KAB KON KISE KA”

 

Kab kon kise ka hota hi sab jhoote rishti nati hin,

Sab dil rakhni ke bati hin,

Sab asle roop chhupati hin,

Ikhlaq si khali log yahan,

Lafzon ki teer chalati hin,

Ek baar nigahon min aakar,

Phir sare umar rulati hin,

Wo jisni diyi hin ashq hamin,

Ab usko bhool he jati hin...

----------------------------------

" USAY KEHNA "

 

Us simt chalay ho to bas itna usay kehna,

Ab koi nahi harf-e-tamana usay kehna..

Duniya to kisi haal mein jeenay nahi deti,

Chahat nahi hoti kbi ruswa usay kehna..

Us ne hi kaha tha to yaqeen maine kiya tha,

Umeed pe qayim hai ye duniya usay kehna,

Zarkhaiz zameenain kbi banjar nahi hotin,

Darya hi badal letay hain rasta usay kehna..

Kuch loog safar k liye mozoon nahi hotay,

Kuch raastay kat'tay nahi tanha usay kehna..

----------------------------------

“MERE HUMSAFER”

 

Mere Humsafer, mere Hum- nasheen

Main ne Rab se manga to kuch nahi

Per jub bhi mangi koi dua!

Nahi manga kuch bhi “Tere Siwa”

Ye talab kya k mera Khuda!

Naye ehad ki Sabhi rahtain,

Sabhi chahtain,

Wo ata kre tujhe manzlain,

Ye talab kya k mera Khuda!

Tujhe Bakht de,

Tujhe Taj de

Tujhe Takht de,

Mere Humsafer, Mere Chara-ger,

Ye hai mohabbat ka khatan safer

Mere sath chalna zra soch ker

Mere pass zarr na koi hunar

Phir bhee dekh to mera hosla

Mere paas jo kuch, Sabhi tera

Nahi aur kuch bhi tere siwa

Meri Dosti Meri Zindgi Meri Khamoshi Meri Be-basi,

Meri Subha Bhi

Meri Sham bhi

Mera Ilm bhi

Mera Naam bhi,

K jo mil saken mere Daam bhi,

Wo sabhi kuch tujh ko ata kre;

Mere chara gr tu yaqin to kr

Mujhe mangna to na aa ska

Main ne phir bhi mangi yehi Dua

K gwahi de ga mera Khuda

Maine jub b us se talab kya!

Nahi manga kuch bhi “TERE SIWA'' .

----------------------------------

"MJE JEENY KI UMEED DOBARA DE DO"

 

Mje jeeney ki umeed d0bara de d0.

Meri d0obti kashti ko kinara de d0.

Main dard k sahil pe tanha khara hun.

Phr aa k apni baah0n ka sahara de d0

Tera daaman to bhara he sitar0n se

Mjhe sadqe me ik sitara de d0

Mere aangan me aj andhera he bht

Meri dehleez ko phr apna nazara de d0

Chand lamhy tjhe dekhne ki hasrat he bs

Maine kb kaha k waqt apna mje sara de d0..!

 

----------------------------------

"R0NY NAHE DIYA"

Pathar bana dia mjhe

R0ne nhi dia

Daaman bi tere gham me

Bhig0ne nhi dia

Tanhaiyan tmhara pta p0chti rahein

Shab bhar tmhari yad ne s0ne ni dia.

Dil ko tmhari yad k aans0ou Aziz the

Duniya ka k0i gham sam0ne nhi dia

Youn uski yaad chali hath tham kr

Mele me is jaha k

Kh0ne nhi dia...!

----------------------------------

“SANS RUK JAI”

Labon ki sarsraht si badn si choor honi tak,

Min tujhko es trha chahoon ki meri sans ruk jai,

Khataon par khatain hon na ho kuch baat kahny ko,

Min tujhmin youn samajaon ki meri sans ruk jai,

Na himat tujh min ho baqi na himat mujh min ho baqi,

Magr aitna qareeb aaoon ki meri sans ruk jai,

Teri honton pi jab rakhoon min apni hont kuch aisi,

Ya teri pyas bhuj jai ya meri sans ruk jai..

----------------------------------

 

“Ajnabi Shehr k anjabi Rastay”

 

Ajnabi Shehr k anjabi Rastay

Meri tanhai par muskuraty rahy...

Mein bohot dair tak yun hi chalta raha

Tum bohot dair tak yaad aaty rahy..

Zehr milta raha zehr peety rahy

Roz marty rahy roz jeety rahy..

Zindagi bhi humain aazmati rahi

Or hum bhi usse aazmaty rahy

Kal kuch aisa huwa mein bohot thak gaya

Is liay sunn k bhi un sunni kar gaya

Kitny yaadon k bhatke huwe karwaan

Dil k zakhmon k dar khatkhatatY Rahy

Zakhm jb bhi koi Zehn O Dil par laga

Zindagi ki taraf aik Dareecha khula

Hum bhi goya kisi saaz k taar hein

Chot khaty rahy Gungunaty rahy...

----------------------------------

“Kash Main Teray Haseen Hath Ka Kangan Hota”

Kash Main Teray Haseen Hath Ka Kangan Hota

Tu Baray Pyaar Say, Chao Say , Baray Maan Kay Sath

Apni Nazuk Se Kalaee Main Charhate Mujh Ko

Or Bay Tabi Say Fursat Kay Khezaan Lamhoon Main

Tu Kese Soch Main Doobi Jo Ghumate Mujh Ko

Teray Hath Ke Khushboo Say Mahak Sa Jata

Jab Kabhi Mood Main Aakar Mujhay Choma Karte

Teray Hontoon Ke Main Hiddat Say Dehak Sa Jata

Raat Ko Jab Bhi Tu Nindoon Kay Safer Per Jate

Marmareen Hath Ka Ak Takya Banaya Karte

Main Teray Kaan Say Lag Kar Kaee Bateen Karta

Teri Zulfoon Ko Teray Galoon Ko Choma Karta

Jab Bhi Tu Band Quba Kholnay Lagte Jana

Apni Aankhoon Ko Teray Husan Say Khaira Karta

Mujh Ko Bay Taab Sa Rakhta Teri Chahat Ka Nasha

Main Tere Rooh Kay Gulshan Main Mhakta Rahta

Main Teray Jsam Kay Aangan Main Khanakta Rahta

Kuch Nahi Tu Yahi Bay Naam Sa Bandhan Hota

Kash Main Teray Haseen Hath Ka Kangan Hota

Main Teray Jsam Kay Aangan Main Khanakta Rahta

Kuch Nahi Tu Yahi Bay Naam Sa Bandhan Hota

Kash Main Teray Haseen Hath Ka Kangan Hota

----------------------------------

“Mohabbat karne wale kam na hon ge”

 

Mohabbat karne wale kam na hon ge,

Teri mehfil main lekin hum na hon ge,

Zamane bhar ke gham ya ik tera gham,

Yeh gham na ho ga to kitne gham na hon ge,

Agar tu itifaaqan mil bhi jaaye,

Teri furqat ke sadme kamm na hon ge,

Dilon ki uljhanen barrhti rahen gi,

Agar kuch mashwre baaham na hon ge,

Hafeez un se main jitna bdgumaan hoon,

Woh mujh se is qadar barhamm na hon ge..

-----------------------------------

“Apne aap se phirte hain begaane kyun”

Apne aap se phirte hain begaane kyun,

Sheher main aa kar log huye deewane kyun,

Hum ne kab maani thi baat zamaane ki,

Aaj hamari baat zamaana maane kyun,

Woh jungle ke phoolon pr kyun marta hai,

Us ko ache lagte hain veeraane kyun,

Sachi baat se ghabraane ki aadat kya,

Jhoote logon se apne yaraane kyun,

Khalwat main jo aankh milaate darta ho,

Mailay main woh shakss humen pehchaane kyun,

Mohsin jab bhi chott nayi khaa leta hoon,

Dil ko yaad aatey hain yaar puraane kyun..

-----------------------------------

“Jaane wale teri yaadon ko bhula kar dekha”

Jaane wale teri yaadon ko bhula kar dekha,

Loh-e-dil se tera har naqsh mittaa kar dekha,

Saari duniya ko nazar aaney lage tere naqoosh,

Jab bhi aankhon main kabhi tujh ko chupa kar dekha,

Tere jaate hi khafaa ho gayi duniya sari,

Baar-haa hum ne yeh ehsaas mitaa kar dekha,

Sangdil meri wafaaon ka tu qaayel na hua,

Zakham har baar neya tu ne lagaa kar dekha,

Raas kyun dosti aayi na kisi ki hum ko,

Hum ne har taur se paimaan nibhaa kar dekha,

Bhool bhi ja ab to zamaane ke sitam ab tuu “Jabeen“,

Hansne waalon ne tumhe kitna hansaa kar dekha..

-----------------------------------

“Bharosa toot jane se zara pehle bata dena”

Bharosa toot jane se zara pehle bata dena,

Mujhe tum azmaane se zara pehle bata dena,

Kisi heelay bahane se zara pehle bata dena,

Ke tum mujh ko bhulane se zara pehle bata dena,

Zehen ki rait pr tum ne mohabbat se jo likhi thi,

Woh tehreeren mitaane se zara pehle bata dena,

Mere dilbar, ke is dil pr main rakh loon zabt ka pathar,

Suno, daaman churaane se zara pehle bata dena,

Kisi bhi morr pr humdum bura pao agar mujh ko,

Zamaane ko batane se zara pehle bata dena..

-----------------------------------

“Naseeb azmaane ke din aa rahe hain”

Naseeb azmaane ke din aa rahe hain,

Qareeb un ke aane ke din aa rahe hain,

Jo dil se kaha jo dil se suna hai,

Sab un ko sunaane ke din aa rahe hain,

Abhi se dil o jaan sar-e-raah rakh do,

Ke luttne lutaane ke din aa rahe hain,

Tapakne lagi un nigaahon se masti,

Nigaahen churaane ke din aa rahe hain,

Sabaa phir humen puchti phir rahi hai,

Chaman ko sajane ke din aa rahe hain,

Chalo faiz phir se kahin dil lagaayen,

Suna hai thikaane ke din aa rahe hain..

-----------------------------------