" Nasir Kazmi "
(1923-1972)



Main Hun Raat Ka Ek Baja Hai..

Main hun raat ka ek baja hai,
 khaali rasta bol raha hai. 

 Aaj toh yun khaamosh hai duniya, 
 jaise kuchh hone waala hai.

 Kaisi andheri raat hai dekho ,
 apne aap se dar lagta hai.

 Aaj toh shehar ki ravish ravish par ,
 patton ka mela sa laga hai.

 Aao ghaas pe sabhaa jamaayen,
 maikhana toh band pada hai.

 Phool toh saare jhadh gaye lekin,
 teri yaad ka zakhm haraa hai.

 Tune jitna pyar kiya tha,
 dukh bhi mujhe utna hi diya hai.

 Ye  bhi hai ek tarah ki mohabbat,
 main tujh se  tu mujh se juda hai.

 Ye teri manzil woh mera rasta,
 tera mera saath hi kya hai.

 Maine toh eroothna, k baat kehi thi,
 kya tu sach-much rooth gaya hai.

 Aisa gaahak kaun hai jis ne,
 sukh de kar dukh mol liya hai.

 Tera rasta takte takte,
 khet gagan ka sookh chala hai.

 Khidki khol ke dekh toh baahar,
 der se koi shakhs khada hai.

 Saari basti so gayi ‘nasir 
 tu ab tak kyon jaag raha hai. !!

 

Ye Bhi Kya Shaam e Mulaqat Aai..

Ye bhi kya shaam-e-mulaaqaat aayi,
lab pe mushkil se teri baat aayi.

Subh se chup hain tere hijr-naseeb,
haaye kya hoga agar raat aayi.

Bastiyaan chhod ke barse baadal,
kis qayaamat ki ye barsaat aayi.

Koi jab mil ke hua tha rukhsat,
dil-e betaab wahi raat aayi.

Saaya-e-zulf-e-butaan mein ‘nasir
ek se ek nayi raat aayi. !!

 

Dil Dhadakne Ka Sabab Yaad Aaya..

Dil dhadakne ka sabab yaad aaya,
woh teri yaad thi ab yaad aaya.

Aaj mushkil tha sambhalna aey dost,
tu museebat mein ajab yaad aaya.

Din guzaara tha badi mushkil se,
phir tera waada-e-shab yaad aaya.

Tera bhoola hua paimaan-e-wafa,
mar rahenge agar ab yaad aaya.

Phir kayi log nazar se guzre,
phir koi shehar-e-tarab yaad aaya.

Haal-e dil hum bhi sunaate lekin,
jab woh rukhsat hua tab yaad aaya.

Baith kar saaya-e-gul mein ‘nasir
hum bahut roye woh jab yaad aaya. !!

 

Zabaan Sukhan Ko Sukhan Baankpan Ko Tarsega..

Zabaan sukhan ko sukhan baankpan ko tarsega,
sukhan-kada meri tarz-e-sukhan ko tarsega.

Naye pyaale sahi tere daur mein saaqi,
ye daur meri sharaab-e-kuhan ko tarsega.

Mujhe toh khair watan chhod kar aman na mili,
watan bhi mujh se ghareeb-ul-watan ko tarsega.

Inhi ke dum se farozaan hain millaton ke charaagh,
zamaana sohbat-e-arbaab-e-fan ko tarsega.

Badal sako toh badal do ye baaghbaan warna,
ye baagh saaya-e-sarw-o-saman ko tarsega.

Hawa-e-zulm yehi hai toh dekhna ek din,
zameen paani ko sooraj kiran ko tarsega. !!

 

Dhoop Thi Aur Baadal Chhaya Tha..

Dhoop thi aur baadal chhaya tha,
der ke baad tujhe dekha tha.

Main iss jaanib tu uss jaanib,
beech mein patthar ka dariya tha.

Ek ped ke haath the khaali,
ek tehni par diya jala tha.

Dekh ke do jalte saayon ko,
main toh achanak seham gaya tha.

Ek ke donon paaon the ghayab,
ek ka poora haath kata tha.

Ek ke ulte pair the lekin,
woh tezi se bhaag raha tha.

Un se ulajh kar bhi kya leta,
teen the woh aur main tanha tha. !!

 

Ye Raat Tumhari Hai Chamakte Raho Taaro..

Ye raat tumhaari hai chamakte raho taaro,
woh aayen na aayen magar ummeed na haaro.

Shayad kisi manzil se koi qaafila aaye,
aashufta-saro subh talak yunhi pukaaro.

Din bhar toh chale ab zara dum le ke chalenge,
aey humsafro aaj yehin raat guzaaro.

Ye aalam-e-wehshat hai toh kuchh ho hi rahega,
manzil na sahi sar kisi deewar se maaro.

Ojhal hue jaate hain nigaahon se do aalam,
tum aaj kahan ho ghum-e-furqat ke sahaaro.

Khoya hai usey jis ka badal koi nahin hai,
ye baat magar kaun sune laakh pukaaro. !!

 

Apni Dhun Mein Rehta Hun..

Apni dhun mein rehta hun,
main bhi tere jaisa hun.

O pichhli rut ke saathi,
ab ke baras main tanha hun.

Teri gali mein saara din,
dukh ke kankar chunta hun.

Mujh se aankh milaaye kaun,
main tera aaina hun.

Mera diya jalaaye kaun,
main tera khaali kamra hun.

Tere siwa mujhe pehne kaun,
main tere tan ka kapda hun.

Tu jeevan ki bhari gali,
main jangal ka rasta hun.

Aati rut mujhe royegi,
jaati rut ka jhonka hun.

Apni lehar hai apna rog,
dariya hun aur pyaasa hun. !!

 

Ye Shab Ye Khyaal O Khwab Tere..

Ye shab ye khyaal-o-khwaab tere,
kya phool khile hain munh-andhere.

Shole mein hai ek rang tera,
baaqi hain tamaam rang mere.

Aankhon mein chhupaaye phir reha hun,
yaadon ke bujhe hue sawere.

Dete hain suraagh fasl-e-gul ka,
shaakhon pe jale hue basere.

Manzil na mili toh qaafilon ne,
raste mein jama liye hain dere.

Jangal mein hui hai shaam hum ko,
basti se chale the munh-andhere.

Rudaad-e-safar na chher ‘nasir’
phir ashk na tham sakenge mere. !!

 

Thodi Der Ko Jee Behla Tha..

Thodi der ko jee behla tha,
phir teri yaad ne gher liya tha.

Yaad aayi woh pehli baarish,
jab tujhe ek nazar dekha tha.

Hare gilaas mein chaand ke tukde,
laal suraahi mein sona tha.

Chaand ke dil mein jalta sooraj,
phool ke seene mein kaanta tha.

Kaghaz ke dil mein chingaari,
khas ki zabaan par angaara tha.

Dil ki soorat ka ek patta,
teri hatheli par rakha tha.

Shaam toh jaise khwaab mein guzri,
aadhi raat nasha toota tha.

Shehar se door hare jangal mein,
barish ne humein gher liya tha.

Subh hui toh sab se pehle,
maine tera munh dekha tha.

Der ke baad mere aangan mein,
surkh anaar ka phool khila tha.

Der ke murjhaaye pedon ko,
khushbu ne aabaad kiya tha.

Shaam ki gehri unchaai se,
hum ne dariya ko dekha tha.

Yaad aayi kuchh aisi baaten,
main jinhen kab ka bhool chuka tha. !!

 

Yun Tere Husn Ki Tasweer Ghazal Mein Aaye..

Yun tere husn ki tasweer ghazal mein aaye,
jaise bilqis sulemaan ke mehal mein aaye.

Jabr se ek hua zaayeqa-e-hijr-o-visaal,
ab kahan se woh maza sabr ke phal mein aaye.

Ye bhi aaraaish-e-hasti ka taqaza tha ki hum,
halqa-e-fikr se maidaan-e-amal mein aaye.

Har qadam dast-o-garebaan hai yahan khair se shar,
hum bhi kis marka-e-jung-o-jadal mein aaye.

Zindagi jin ke tasawwur se jila paati thi,
haaye kya log the jo dum-e-ajal mein aaye. !!

 

Kaun Uss Raah Se Guzarta Hai..

Kaun uss raah se guzarta hai,
dil yun hi intezaar karta hai.

Dekh kar bhi na dekhne wale,
dil tujhe dekh dekh darta hai.

Shehar-e-gul mein kati hai saari raat,
dekhiye din kahan guzarta hai.

Dhyan ki sidhiyon pe pichhle pahar,
koi chup ke se paanv dharta hai.

Dil toh mera udaas hai ‘nasir
shehar kyon saayen saayen karta hai. !!

 

Dil Mein Aur Toh Kya Rakha Hai..

Dil mein aur toh kya rakha hai,
tera dard chhupa rakha hai.

Itne dukhon ki tez hawa mein,
dil ka deep jala rakha hai.

Dhoop se chehron ne duniya mein,
kya andher macha rakha hai.

Iss nagri ke kuchh logon ne,
dukh ka naam dawaa rakha hai.

Wada-e yaar ki baat na chhedo,
ye dhokha bhi kha rakha hai.

Bhool bhi jaao beeti baaten,
in baaton mein kya rakha hai.

Chup chup kyon rahte ho ‘nasir
ye kya rog laga rakha hai. !!

 

Dhoop Nikli Din Suhaane Ho Gaye..

Dhoop nikli din suhaane ho gaye,
chaand ke sab rang pheeke ho gaye.

Kya tamasha hai ki beayyaam-e-gul,
tanhaiyon ke haath peele ho gaye.

Iss qadar roya hun teri yaad mein,
aaine aankhon ke dhundle ho gaye.

Hum bhala chup rahne wale the kahin,
haan magar halaat aise ho gaye.

Ab toh khush ho jaayen arbaab-e-hawas,
jaise woh the hum bhi waise ho gaye.

Husn ab hungama-aara ho toh ho,
ishq ke daave toh jhoothe ho gaye.

Aye sukoot-e-shaam-e-ghum ye kya hua,
kya woh sab beemaar achchhe ho gaye.

Dil ko tere ghum ne phir aawaaz di,
kab ke bichhde phir ikatthe ho gaye.

Aao ‘nasir hum bhi apne ghar chalen,
band iss ghar ke dareeche ho gaye. !!

 

Aaj Toh Besabab Udaas Hai Ji..

Aaj toh be-sabab udaas hai jii,
ishq hota toh koi baat bhi thi.

Jalta phirta hun main dopehron mein,
jaane kya cheez kho gayi meri.

Wahin phirta hun main bhi khaak basar,
iss bhare shehar mein hai ek gali.

Chhupta phirta hai ishq duniya se,
phailti jaa rahi hai ruswaai.

Hum-nashin kya kahun ki woh kya hai,
chhod ye baat neend udne lagi.

Aaj toh woh bhi kuchh khamosh sa tha,
maine bhi uss se koi baat na ki.

Ek dum uss ke honth choom liye,
ye mujhe baithe baithe kyaa soojhi.

Ek dum uss ka haath chhod diya,
jaane kya baat darmiyaan aayi.

Tu jo itna udaas hai ‘nasir
tujhe kya ho gaya bata toh sahi. !!