
Ishq ko be-naqaab hona tha,
aap apna jawaab hona tha.
Mast-e-jaam-e-sharaab hona tha,
bekhud-e-iztiraab hona tha.
Teri aankhon ka kuchh qusoor nahin,
haan mujhi ko kharaab hona tha.
Aao mil jaao muskura ke gale,
ho chuka jo itaab hona tha.
Koocha-e-ishq mein nikal aaya,
jis ko khana-kharaab hona tha.
Mast-e-jaam-e-sharaab khaak hote,
garq-e-jaam-e-sharaab hona tha.
Dil ki jis par hain naqsh-e-ranga-rang
uss ko saada kitaab hona tha.
Hum ne nakaamiyon ko dhoond liya,
aakhirash kaamyaab hona tha.
Haaye woh lamha-e-sukoon ki jise,
mahshar-e-iztiraab hona tha.
Nigaah-e-yaar khud tadap uthti,
shart-e-awwal kharaab hona tha.
Kyon na hota sitam bhi bepaayan,
karam-e-behisaab hona tha.
Kyon nazar hairaton mein doob gayi,
mauj-e-sad-iztiraab hona tha.
Ho chuka roz-e-awwali hi ‘jigar
jis ko jitna kharaab hona tha. !!
Saaqi par ilzaam na aaye,
chaahe tujh tak jaam na aaye.
Tere siwa jo ki ho mohabbat,
meri jawaani kaam na aaye.
Jin ke liye mar bhi gaye hum,
woh chal kar do gaam na aaye.
Ishq ka sauda itna garaan hai,
inhen hum se kaam na aaye.
Maikhaane mein sab hi toh aaye,
lekin ‘jigar ka naam na aaye. !!
Saaqi ki har nigaah pe bal kha ke pee gaya,
leharon se khelta hua lehra ke pee gaya.
Bekaifiyon ke kaif se ghabra ke pee gaya,
tauba ko tod taad ke tharra ke pee gaya.
Zahid ye meri shokhi-e-rindana dekhna,
rahmat ko baaton baaton mein behla ke pee gaya.
Sarmasti-e-azal mujhe jab yaad aa gayi,
duniya-e-aitbaar ko thukra ke pee gaya.
Aye rahmat-e-tamaam meri har khata muaaf,
main inteha-e-shauq mein ghabra ke pee gaya.
Peeta baghair izan ye kab thi meri majaal,
dar-parda chashm-e-yaar ki sheh pa ke pee gaya.
Uss jaan-e-maikada ki qasam baarha ‘Jigar
kul alam-e-bisaat pe main chhaa ke pee gaya. !!
Kaam aakhir jazba-e-beikhtiyaar aa hi gaya,
dil kuchh iss soorat se tadpa un ko pyar aa hi gaya.
Jab nigaahen uth gayi allah re meraj-shauq,
dekhta kya hun woh jaan-e-intezaar aa hi gaya.
Haaye ye husn-e-tasawwur ka fareb-e-rang-o-boo
maine samjha jaise woh jaan-e-bahaar aa hi gaya.
Haan saza de aye khuda-e-ishq aye taufeeq-e-ghum
phir zabaan-e-beadab par zikr-e-yaar aa hi gaya.
Is tarah khush hun kisi ke wada-e-farda pe main,
dar-haqeeqat jaise mujh ko aitbaar aa hi gaya.
Haaye kaafir dil ki ye kaafir junoon-angeziyan
tum ko pyar aaye na aaye mujh ko pyar aa hi gaya.
Dard ne karawt hi badali thi ki dil ki aad se,
dafa.tan parda utha aur parda-daar aa hi gaya.
Dil ne ek naala kya aaj iss tarah deewaana-waar
baal bikhraaye koi mastana-waar aa hi gaya.
Jaan hi de di ‘Jigar ne aaj paa-e-yaar par,
umar bhar ki beqaraari ko qaraar aa hi gaya. !!
Ishq ki daastan hai pyare,
apni apni zubaan hai pyare.
Kal tak aye dard ye tapaak na tha,
aaj kyon meharbaan hai pyare.
Saaya-e-ishq se khuda hi bachaaye,
ek hi qahar maan hai pyare.
Iss ko kya keejiye jo lab na khulen,
yun toh munh mein zubaan hai pyare.
Ye taghaful bhi hai nigah-aamez,
iss mein bhi ek shaan hai pyare.
Jis ne aye dil diya hai apna ghum,
uss se tu badgumaan hai pyare.
Dil ka aalam nigaah kya jaane,
ye toh sirf ek zubaan hai pyare.
Mere ashkon mein ehtimaam na dekh,
aashiqi ki zubaan hai pyare.
Hum zamaane se inteqaam toh lein,
ek haseen darmiyaan hai pyare.
Ishq ki ek ek nadaani,
ilm-o-hikmat ki jaan hai pyare.
Tu nahin main hun main nahin tu hai,
ab kuchh aisa gumaan hai pyare.
Kehne suNne mein jo nahin aati,
woh bhi ek daastaan hai pyare.
Rakh qadam phoonk phoonk kar nadaan,
zarre zarre mein jaan hai pyare.
Kis ko dekhe se dil ko chot lagi,
kyon ye utri kamaan hai pyare.
Teri barham-khiraamiyon ki kasam,
dil bahut sakht jaan hai pyare.
Haan tere ehad mein ‘jigar ke siwa
har koi shaadmaan hai pyare. !!
Ishq mein lajawaab hain hum log,
maahtaab, aaftaab hain hum log.
Garche ahal-e-sharaab hain hum log,
ye na samjho kharaab hain hum log.
Shaam se aa gaye jo peene par,
subah tak aaftaab hain hum log.
Hum ko daava-e-ishqbaazi hai,
mustahiqq-e-azaab hain hum log.
Naaz karti hai khana-veerani,
aise khana-kharaab hain hum log.
Hum nahin jaante khizaan kya hai,
kushtagaan-e-shabaab hain hum log.
Tu humara jawaab hai tanha,
aur tera jawaab hain hum log.
Tu hai dariya-e-husn-o-mahboobi,
shakl-e-mauj-o-hubaab hain hum log.
Go saraapa hujaab hain phir bhi,
tere rukh ki naqaab hain hum log.
Khoob hum jaante hain apni qadr,
kitne na-kaamyaab hain hum log.
Hum se ghaflat na ho toh phir kya ho,
rah-rav-e-mulk-e-khwaab hain hum log.
Hum pe naazil hua saheefa-e-ishq,
saahibaan-e-kitaab hain hum log.
Har haqeeqat se jo guzar jaayen,
woh sadaaqat-ma.aab hain hum log.
Jab mili aankh hosh kho baithe,
kitne haazir-jawaab hain hum log.
Hum se puchho ‘jigar ki sarmasti,
mahram-e-aan-janaab hain hum log. !!
Muddat mein woh phir taza mulaqaat ka aalam,
khamosh adaaon mein woh jazbaat ka aalam.
Allah re woh shiddat-e jazbaat ka aalam,
kuchh keh ke woh bhooli hui har baat ka aalam.
Aariz se dhalakte hue shabnam ke woh qatre,
aankhon se jhalakta hua barsaat ka aalam.
Woh nazaron hi nazaron mein sawaalaat ki duniya,
woh ankhon hi ankhon mein jawaabaat ka aalam. !!
Tujhi se ibtida hai tu hi ek din inteha hoga,
sadaa-e-saaz hogi aur na saaz-e-be-sadaa hoga.
Humein maloom hai hum se suno mahshar mein kya hoga,
sab uss ko dekhte honge woh hum ko dekhta hoga.
Sar-e-mahshar hum aise aasiyon ka aur kya hoga,
dar-e-jannat na vaa hoga dar-e-rahmat to vaa hoga.
Jahannum ho ki jannat jo bhi hoga faisla hoga,
ye kya kam hai humara aur uss ka saamna hoga.
Azal ho ya abad donon aseer-e-zulf-e-hazrat hain,
jidhar nazren uthaaoge yahi ek silsila hoga.
Ye nisbat ishq ki berang laaye reh nahin sakti,
jo mehboob khuda ka hai woh mehboob-e-khuda hoga.
Ussi umeed par hum taalibaan-e-dard jeete hain,
khosa dard de ki tera aur dard-e-la-dawaa hoga.
Nigaah-e-qahar par bhi jaan-o-dil sab khoye baitha hai,
nigaah-e-mehar aashiq par agar hogi toh kya hoga.
Siyaana bhej dega hum ko mahshar se jahannum mein,
magar jo dil pe guzregi woh dil hi jaanta hoga.
Samajhta kya hai tu deewanagaan-e-ishq ko zaahid,
ye ho jaayenge jis jaanib ussi jaanib khuda hoga.
Jigar’ ka haath hoga hashr mein aur daaman-e-hazrat,
shikaayat ho ki shikwa jo bhi hoga barmala hoga. !!
Dard barh kar fugaan na ho jaaye,
ye zameen aasman na ho jaaye.
Dil mein dooba hua jo nashtar hai,
mere dil ki zubaan na ho jaaye.
Dil ko le lijiye jo lena hai,
phir ye sauda giraan na ho jaaye.
Aah kije magar lateef-tareen,
lab tak aa kar rhuaan na ho jaaye. !!
Dil ko jab dil se raah hoti hai,
aah hoti hai, waah hotii hai.
Ek nazar dil ki simt dekh toh lo,
kaise duniya tabaah hoti hai.
Husn-e-janaa ki manzilon ko na poochh,
har nafas ek raah hoti hai.
Kya Khabar thi ki ishq ke haathon,
aisi haalat tabaah hoti hai.
Saans leta hun dum ulajhta hai,
baat karta hun aah hoti hai.
Jo ulat deti hai safon ke safe,
ek shikasta si aah hoti hai. !!
Daastaan-e-ghum-e-dil un ko sunaayi na gayi,
baat bigadi thi kuchh aisi ki banaayi na gayi.
Sab ko hum bhool gaye josh-e-junoon mein lekin,
ek teri yaad thi aisi jo bhulaayi na gayi.
Ishq par kuchh na chala deeda-e-tar ka qaaboo,
uss ne jo aag laga di woh bujhaayi na gayi.
Pad gaya husn-e-rukh-e-yaar ka partav jis par,
khaak mein mil ke bhi iss dil ki safaayi na gayi.
Kya uthaayegi saba khaak meri uss dar se,
ye qayaamat toh khud un se bhi uthaayi na gayi. !!
Dil mein kisi ke raah kiye jaa raha hun main,
kitna haseen gunaah kiye jaa raha hun main.
Duniya-e-dil tabaah kiye jaa raha hun main,
sarf-e-nigaah-o-aah kiye jaa raha hun main.
Fard-e-amal siyaah kiye jaa raha hun main,
rahmat ko bepanaah kiye jaa raha hun main.
Aisi bhi ek nigaah kiye jaa raha hun main,
zarron ko mehr-o-maah kiye jaa raha hun main.
Mujh se lage hain ishq ki azmat ko chaar chaand,
khud husn ko gawaah kiye jaa raha hun main.
Daftar hai ek maani-e-be-lafz-o-saut ka,
saada si jo nigaah kiye ja raha hun main.
Aage qadam badhaayen jinhen sujhta nahin,
raushan charaagh-e-raah kiye jaa raha hun main.
Maasoomi-e-jamaal ko bhi jis pe rashk ho,
aise bhi kuchh gunaah kiye jaa raha hun main.
Tanqeed-e-husn maslahat-e-khaas-e-ishq hai,
ye jurm gaah gaah kiye jaa raha hun main.
Gulshan-parast hun mujhe gul hi nahin azeez,
kaanton se bhi nibaah kiye jaa raha hun main.
Yun zindagi guzaar raha hun tere baghair,
jaise koi gunaah kiye jaa raha hun main.
Mujh se adaa hua hai ‘jigar justjoo ka haq,
har zarre ko gawaah kiye jaa raha hun main. !!
Baraabar se bach kar guzar jaane waale,
ye naale nahin be-asar jaane waale.
Nahin jaante kuchh ki jana kahan hai,
chale jaa rahe hain magar jaane waale.
Mere dil ki betaabiyaan bhi liye jaa,
dabe paaon munh pher kar jaane waale.
Tere ek ishaare pe saakit khade hain,
nahin keh ke sab se guzar jaane waale.
Muhabbat mein hum toh jiye hain jiyenge,
woh honge koi aur mar jaane waale. !!