
Ajab ek shor sa barpa hai kahin,
Koi khaamosh ho gaya hai kahin.
Hai kuchh aisa ki jaise ye sab kuchh,
Ab se pehle bhi ho chuka hai kahin.
Jo yahan se kahin na jaata tha,
Woh yahan se chala gaya hai kahin.
Tujh ko kya ho gaya ki cheezon ko,
Kahin rakhta hai, dhundhta hai kahin.
Tu mujhe dhoondh, main tujhe dhoondhun,
Koi hum mein se reh gaya hai kahin.
Isi kamre se ho ke koi widaa,
Isi kamre mein chhup gaya hai kahin . !!
Mujhko aap apna aap dijiyega,
aur kuchh bhi na mujh se lijiyega.
Aap bemisl, bemisaal hun main,
mujh siwa aap kis pe rijhiyega.
Aap jo hain azal se hi benaam,
naam mera kabhi toh lijiyega.
Aap bas mujh mein hi toh hain, so aap
mera behad khyaal kijiyega.
Hai agar waaqai sharaab haraam,
aap hothon se mere pijiyega.
Intezaari hun apna main din raat,
ab mujhe aap bhej dijiyega.
Aap mujh ko bahut pasand aaye,
aap meri kameez sijiyega.
Dil ke rishte hain khoon, jhooth ki sach,
ye muamma kabhi na boojhiyega.
Hai mere jism-o jaan ka maazi kya ?
mujh se bas ye kabhi na poochiyega.
Mujh se meri kamaai ka sar-e shaam,
paai paai hisaab lijiyega.
Zindagi kya hai, ik hunar karna
so qareene se zehar pijiyega.
Main jo hun, ‘Jaun Eliya’ hun janaab,
iska behad lihaaz kijiyega. !!
Aye wasl kuchh yahan na hua kuchh nahi hua,
uss jism ki main jaan na hua kuchh nahi hua.
Tu aaj mere ghar mein jo mehmaan hai Eid hai,
tu ghar ka mezbaan na hua kuchh na hua.
Kholi toh hai zabaan magar iss ki kya bisaat,
main zehar ki dukaan na hua kuchh nahi hua.
Kya ek kaarobaar tha woh rabt-e jism-o jaan,
koi bhi raigaan* na hua kuchh nahi hua.
Kitna jala hua hun bas ab kya bataaun main,
aalam dhuaan – dhuaan na hua kuchh nahi hua.
Dekha tha jab ki pehle – pehal usne aaina,
uss waqt main wahan na hua kuchh nahi hua.
Woh ek jamaal jalwa-fishan hai zameen – zameen,
main ta-ba-aasmaan na hua kuchh nahi hua.
Maine bas ek nighaah mein tayy kar liya tujhe,
tu rang-e bekaraan na hua kuchh nahi hua.
Ghum ho ki jaan tu meri aaghosh-e zaat mein,
benaam-o nishaan na hua kuchh nahi hua.
Har koi darmiyaan hai aye maajra-farosh,
main apne darmiyaan na hua kuchh nahi hua. !!
Baras Guzre Tumhein Soye Hue,
Uth Jaao, Sunti Ho ? Aab Uth Jaao.
Main Aaya Hun !
Main Andaze Se Samjha Hun,
Yahan Soyi Hui Ho Tum..
Yahaan, Roi Zameen Ke Iss Muqaam-e Aasmaani Tar Ke Hudd Mein.
Baad Haaye Tund Ne..
Mere Liye Bas Ek Andaza Hi Chhoda Hai. !!
Beqaraari si beqaraari hai,
Wasl hai aur firaaq taari hai.
Jo guzaari na ja saki hum se,
hum ne woh zindagi guzaari hai.
Uss se kahiyo ki dil ki galiyon mein,
raat din teri intezaari hai.
Ek mehak samt-e jaan se aayi thi,
main ye samjha teri sawaari hai.
Haadson ka hisaab hai apna,
warna har aan sab ki baari hai.
Bin tumhaare kabhi nahi aayi,
kya meri neend bhi tumhaari hai?
nighaah-baan kya hue ki logon par,
apna saaya bhi ab toh bhari hai.
Khush rahe tu ki zindagi apni,
umar bhar ki ummeed’wari hai.
Aap mein kaise aaun main tujh bin?
saans jo chal rahi hai aari hai.
Hijar ho ya wisaal ho kuchh ho,
hum hain aur uski yaadgaari hai. !!
Naya Ek Rishta Paida Kyon Karein Hum,
Bichhadhna Hai Toh Jhagda Kyon Karein Hum.
Wafa, Ikhlaas, Qurbaani, Mohabbat
Ab Inn Lafzon Ka Peechha Kyon Karein Hum.
Yeh Kaafi Hai Ki Hum Dushman Nahi Hain,
Wafadaari Ka Daawa Kyon Karein Hum.
Kiya Tha Ehad Jab Lamhon Mein Hum Ne,
Toh Saari Umar Aeffa Kyon Karein Hum.
Utha Kar Kyon Na Pheinken Saari Cheezein,
Faqat Kamaron Mein Tehlaa Kyon Karein Hum.
Barehna Hain Sar-e Bazaar Toh Kya,
Bhala Andhon Se Parda Kyon Karein Hum.
Hain Bashindey Issi Basti Ke Hum Bhi,
So Khud Par Bhi Bharosa Kyon Karein Hum.
Nahi Duniya Ko Jab Parwaah Humari,
Toh Phir Duniya Ki Parwaah Kyon Karein Hum.
Padi Rehne Do Insaanon Ki Laashein,
Zameen Ka Bojh Halka Kyon Karein Hum.
Yeh Basti Hai Musalmaanon Ki Basti,
Yahan Kar-e Masiha Kyon Karein Hum. !
Seena Dehak Reha Hai Toh Kya Chup Rahe Koi,
Kyon Cheekh Cheekh Kar Na Gala Chheel Le Koi..
Sabu Hua Sukoon-e Dil-o Jaan Kahin Nahi,
Rishton Mein Dhoondta Hai Toh Dhundha Kare Koi..
Tark-e Talluqat Koi Masla Nahi,
Ye Toh Woh Raasta Hai Ki Bas Chal Pade Koi..
Deewaar Jaanta Tha Jise Main Woh Dhool Thi,
Ab Mujh Ko Aitamaad Ki Daawat Na De koi..
Main Khud Ye Chahta Hun Ki Halaat Hon Kharab,
Mere Khilaaf Zehar Ugalta Phirey Koi..
Aye Shakhs Ab Toh Mujh Ko Sabhi Kuchh Hai Qabool,
Ye Bhi Qabool Hai Ki Tujhe Chheen Le Koi..
Haan Theek Hai Main Apni Ana Ka Mareez Hun,
Aakhir Mere Mizaaj Mein Kyon Dakhal De Koi..
Ek Shakhs Kar Reha Hai Abhi Tak Wafa Ka Zikar,
Kaash Iss Zubaan-Daraaz Ka Munh Noch Le Koi …!!
Nazar hairaan, dil veeraan, mera jee nahin lagta
bichhad kar tum se meri jaan.. mera jee nahin lagta.
Koi bhi toh nahin hai jo pukaare raah mein mujh ko
hun main benaam ek insaan.. mera jee nahi lagta.
Jahan milte the hum – tum, aur jahan mil kar bichhadte the
na woh dar hai na woh dalaan.. mera jee nahin lagta.
Kahin sar hai kahin sauda, kahin wehshat kahin sehra
kahin main hun, kahin samaan.. mera jee nahi lagta.
Mere hi shehar mein, mere muhalle mein, mere ghar mein
bula lo tum mujhe mehmaan.. mera jee nahi lagta.
Main tum ko bhool jaaun, bhoolne ka dukh na bhulunga
nahin hai khel ye aasaan.. mera jee nahi lagta. !!