
Aap ka e’tibar kaun kry
Roz ka intezar kaun kry
Zikr-e-mehr-o-wafa to hum karty
Phir tumhen sharmsar kaun kry
Ho jo us chashm-e-mast sy be-khud
Phir usy hoshiyar kaun kry
Tum to ho jan ik zamane ki
Jan tum par nisar kaun kry
Aafat-e-rozgar jab tum ho
Shikwa-e-rozgar kaun kry
Apni tasbih rehny dy zahid
Daana daana shumar kaun kry
Hijr ma zehr kha k mar jaon
Moat ka intezar kaun kry
Aankh ha tark-e-zulf sayyad
Dekhen dil ka shikar kaun kry
Waada krty nahin yeh kehty hain
Tujh ko ummid-vaar kaun kry
Dagh ki shkl dekh kar boly
Asis surat ko piyar kaun kry
---------------------
Aarzu hai wafa kare koi
jeena chahe to kya kare koi
gar marz ho dawa kare koi
marne wale ka kya kare koi
koste hain jale hue kya kya
apne haq main dua kare koi
un se sab apni apni kahte hain
mera matlab ada kare koi
tum saraapa ho soorat-e-tasvir
tum se phir baat kya kare koi
jis main lakhon baras ki hooren hon
aisi jannat ko kya kare koi
-------------------------
Ajab apna hal hota jo visal-e-yar hota
kabhi jan sadqe hoti kabhi dil nisar hota
na maza hai dushmani main na hai lutf dosti main
koi gair gair hota koi yar yar hota
ye maza tha dillagi ka k barabar ag lagti
na tumhen qarar hota na hamain qarar hota
tere wade par sitamagar abhi aur sabr karte
agar apni zindagi ka hamain aitabar hota
Ghazab kiya, tere vade pe aitabar kiya
tamam rat qayamat ka intezar kiya
hansa hansa k shab-e-vasl ashk-bar kiya
tasalliyan mujhe de-de k beqarar kiya
ham aise mahv-e-nazara na the jo hosh ata
magar tumhare tagaful ne hoshiyar kiya
fasana-e-shab-e-gam un ko ek kahani thi
kuch aitabar kiya aur kuch na-aitabar kiya
ye kisne jalva hamare sar-e-mazar kiya
k dil se shor utha, hae! beqarar kiya
tarap phir ai dil-e-nadan, k gair kahte hain
akhir kuch na bani, sabr ikhtiyar kiya
bhula bhula k jataya hai unko raz-e-nihan
chipa chipa k mohabbat ko ashkar kiya
tumhen to vada-e-didar ham se karna tha
ye kya kiya k jahan ko ummidavar kiya
ye dil ko tab kahan hai k ho malandesh
unhone vada kiya ham ne aitabar kiya
na puch dil ki haqiqat magar ye kahte hain
vo beqarar rahe jisne beqarar kiya
Tumhare khat main naya ik salam kis ka tha
na tha raqib to akhir vo nam kis ka tha
vo qatl kar ke mujhe har kisi se puchte hain
ye kam kis ne kiya hai ye kam kis ka tha
vafa karenge nibhayenge bat manenge
tumhen bhi yad hai kuch ye kalam kis ka tha
raha na dil main vo be-dard aur dard raha
muqim kaun hua hai maqam kis ka tha
na puch-gach thi kisi ki wahan na av-bhagat
tumhari bazm main kal ehtamam kis ka tha
hamare khat ke to purze kiye parha bhi nahin
suna jo tu ne ba-dil vo payam kis ka tha
inhin sifat se hota hai admi mashhur
jo lutf ap hi karte to nam kis ka tha
guzar gaya vo zamana kahen to kis se kahen
khayal dil ko mere subah-o-sham kis ka tha
har ek se kahte hain kya “Daagh” bevafa nikla
ye puche in se koi vo gulam kis ka tha
Rasm-e-ulfat sikha gaya koi
dil ki duniya pe cha gaya koi
ta qayamat kisi tarah na bujhe
ag aisi laga gaya koi
dil ki duniya ujar si kyun hai
kya yahan se chala gaya koi
vaqt-e-rukhsat gale laga kar “Daagh”
hansate hansate rula gaya koi
un k ek jaan-nisar ham bhi hain
hain jahan sau-hazar ham bhi hain
tum bhi bechain ham bhi hain bechain
tum bhi ho beqarar ham bhi hain
ai falaq kah to kya irada hai
aish k khvastagar ham bhi hain
shahar khali kiye dukan kaisi
ek hi vada-khvar ham bhi hain
sharm samajhe tere tagaful ko
vah! kya hoshiyar ham bhi hain
tum agar apni khu k ho mashuq
apne matlab k yar ham bhi hain
jis ne chaha phansa liya hamko
dil-baron k shikar ham bhi hain
kaun sa dil hai jis main dag nahin
ishq ki yadgar ham bhi hain
Aafat ki shokhiyan hain tumhari nigah main
mehshar ke fitney kheltey hain jalwa-gaah main
wo dushmani se dekhatey hain dekhtey to hain
main shaad hun ke hun to kisi ki nigaah main
ati baat baat mujhe yaad baar baar
khata hun daud daud ke qasid se raah main
is taubah par hai naaz mujhe zaahid is qadar
jo toot kar sharik hun haal-e-tabah main
mushtaq is ada ke bahot dard-mand the
ae daag tum to baith gaye ek ah main