Hindi Poems
This is a collection of some of my favourite hindi poems. I have tried
to give the due credit to the poets for their compositions. If someone
can say for certain that any information is incorrect, or there is any violation
of copyrights, please let me know - I'll try to rectify that asap.
Ab Nahin Ho - Abhigyaat
Aaj phir se
- Harivansh Rai Bachchan
Meraa Sambal
- Harivansh Rai Bachchan
Parichay - Ramdhari
Singh 'Dinkar'
Jyotipath
Ek Aashirwaad
- Dushyant Kumar
Chhup-Chhup
ashru bahaane waalon - Gopaldas 'Niraj'
Mujhko Yaad
Kiya Jayega - Gopaldas 'Niraj'
Prayan Geet
- Jaishankar Prasad
Ab Nahin Ho
- Abhigyaat
Haar kis kaandhe pe dhar doon
Jiit kis ko bhent kar doon
Koii to apna nahiin thaa
Ek tum the, ab nahiin ho!
Kis tarah raahat banegii
Toot Jaane kii hataashaa
Thak gayii saanson ko degaa
Kaun jiivan kaa dilaasaa
Bistaron par silvatein ab
Niind kya, bas karvatein ab
Raat ne taane diye to
Aankh mein bas baat yeh ki
Koii to sapna nahiin thaa
Ek tum the, ab nahiin ho!
Kis hathelii kii rekhaaon
Kaa varan maine kiyaa hai
Kiska, kshan bhar pyaar paane
Ko janam maine liyaa hai
Is prashna kaa hal thaa milaa kal
Haan wohi reeta huaa pal
Jisne meraa giit saadhaa
Jo kaho, ratnaa yaa raadhaa
Koii to itna nahiin thaa
Ek tum the, ab nahiin ho!
Aaj Phir Se
- Harivansh Rai Bachchan
Aaj phir se tum bujha deepak jalaao
Hai kahaan wah aag jo mujhko jalaaye
Hai kahaan wah jwaal mere paas aaye
Raaginii, tum aaj deepak raag gaao
Aaj phir se tum bujha deepak jalaao
Tum nayii aabhaa nahiin mujhmein bharogii
Nav vibhaa mein snaan tum bhii to karogii
Aaj tum mujhko jagaakar jagmagaao
Aaj phir se tum bujha deepak jalaao
Main tapomaya, jyoti kii, par pyaas mujhko
Hai pranaya kii shakti par vishwaas mujhko
Sneh kii do boond bhii to tum giraao
Aaj phir se tum bujha deepak jalaao
Kal timir ko bhed main aage badhoongaa
Kal pralaya kii aandhiyon se main ladoongaa
Kintu mujhko aaj aanchal se bachhaao
Aaj phir se tum bujha deepak jalaao
Meraa Sambal
- Harivansh Rai Bachchan
Main Jiivan kii har hal-chal mein
Kuch pal sukhmay
Amaran akshay
Chun leta hoon
Main jag ke har kolaahal mein
Kuch swar madhumay
Unmukt abhay
Sun leta hoon
Har kaal kathin ke bandhan se
Le taar taral
Kuch mud mangal
Main sudhi pat par
Bun leta hoon.
Parichay
- RamDhari Singh 'Dinkar'
Salil kann hun ya paravaar hun main?
Svayam chaya, svayam aadhar hun main;
bandha hun, svapna hun, laghu vrut main hun;
nahin to vyom ka vistar hun main.
Samaana chahti hai jo been ur mein;
vikal us shunya ki jhankaar hun main.
Bhatakta khojta hun, jyoti tam mein;
suna hai jyoti ka aagaar hun main.
Jisse nishi khojti tare jalakar;
usi ka kar raha abhisaar hun main.
Janam kar sau baar mar chuka lekin
agam ka paa saka kya paar hun main?
Kali ki pankhdi par os kann mein,
rangeele svapna ka sansaar hun main.
Mujhe kya aaj hi ya kal jharu mein,
suman hun ek laghu upahaar hun main.
Jalan hun, dard hun, dil ki kasak hun;
kisi ka haay, khoya pyaar hun main.
Gira hun bhoomi par nandan vipin se,
amar-taru ka suman sukumar hun main
Madhur jeevan hua kuch praan! Jab se,
laga dhone vyatha ka bhaar hun main.
Rudann anmol dhan kavi ka, issise
pirota aasuon ka haar hun main.
Mujhe kya garv ho apni vibha ka?
Chita ka dhulikann hun, kshaar hun main.
Pata mera tujhe mitti kahegi,
sama jisme chuka sau baar hun main.
Na dekhe vishva par mujhko ghrina se;
manuj hun srishti ka shringaar hun main.
Pujarin! Dhuli se mujhko utha le,
tumhare devtaa ka haar hun main.
Sunnu kya sindhu, main garjan tumhara?
Svayam yudh dharma ki hunnkaar hun main.
Kathin nirgosh hun bheeshan ashani ka;
pralay gaandeev ka tankaar hun main.
Dabi si aag hun bheeshan kshuddha ki;
dalit ka maun hahakaar hun main.
Sajag sansaar tu nij ko samhaale;
pralay ka ksubdh paravaar hun main.
Bandha toofan hun, chalna mana hai,
bandhi uddaam nirjhar-dhaar hun main;
kahun kya kaun hun, kya aag meri?
Bandhi hai lekhni, laachaar hun main.
Jyotipath
Deep hai vanvaas mein aur baati birhan sii khadii
Andhiyare ke dwaar par roshnii rehan padii
Deep aaye jab talak na yamini ko main chhaloongaa
Mol ho nij praan chahe deep bankar main jaloongaa
Main jalaa to sang mere surya ko jalnaa padegaa
Mere piiche jyotipath par vishva ko chalnaa padegaa
Vyarth hai deepawali jo ek lau bhi dagmagaaye
Vyarth jhilmil deep ki gar har nayan na jagmagaaye
Dabdabate har nayan ullaas ban kar main chaloongaa
Deepawali ki raat ka aabhaas ban kar main chaloongaa
Main chalaa to sang mere jyoti ko chalnaa padegaa
Mere piiche jyotipath par vishva ko chalnaa padegaa
Ek Aashiirwaad
- Dushyant Kumar
Jaa tere swapna bade ho.n.
Bhaavnaa kii god se utar kar
jald prithvii par chalnaa siikhei.n.
Chaa.nd taaro.n sii apraapya oo.nchaaiyo.n ke liye
roothnaa machalnaa siikhei.n.
Hansei.n
muskuraayei.n
gaayei.n.
Har diiye kii roshnii ko dekhkar lalchaayei.n
ungalii jalaayei.n.
Apne paanv par khade ho.n.
Jaa tere swapna bade ho.n.
Chhup-chhup ashru bahaane waalon
- Gopaldas 'Niraj'
Chhup-chhup ashru bahaane waalon !
Motii vyarth lutaane waalon !
Kuch sapnon ke mar jaane se
Jiivan nahin maraa kartaa hai.
Sapnaa kyaa hai? nayan sej par,
Soyaa huaa aankh kaa paani,
Aur TooTnaa hai uskaa jyon,
Jaage kachhi niind javaani,
Giilii umar banaane waalon !
Doobe binaa nahaane waalon !
Kuch paani ke bah jaane se
Saavan nahin maraa kartaa hai.
Maalaa bikhar gayii to kyaa hai,
Khud hii hal ho gayee samasyaa,
Aansoo gar niilaam hue to,
Samjho poori huii tapasyaa,
RooThe divas manaane waalon !
Fatii kameez silaane waalon !
Kuch deepon ke bujh jaane se
Aangan nahin maraa kartaa hai.
Khotaa kuch bhi nahin yahaan par,
Keval jild badaltii pothii,
Jaise raat utaar chaandnii,
Pahne subah dhoop kii dhotii,
Vastra badal kar aane waalon !
Chaal badal kar jaane waalon !
Chand khilaunon ke khone se
Bachpan nahin maraa kartaa hai.
Laakhon baar gagariyan footiin,
Shikan na aayii panghat par,
Laakhon baar kashtiyaan doobiin,
Chahal-pahal wohi hai taT par,
Tam kii umar badhaane waalon !
Lau kii aayu ghataane waalon !
Laakh kare patjhar koshish par
Upvan nahin maraak kartaa hai.
LooT liyaa maalii ne upvan,
LuTii na lekin gandh phool kii,
Toofaanon tak ne cheda par,
Khidki band na huii dhool ki,
Nafrat gale lagaane waalon !
Sab par dhool uDaane waalon !
Kuch mukhDon kii narazii se
Darpan nahin maraa kartaa hai.
Mujhko
Yaad Kiya Jayega
- Gopaldas 'Niraj'
Aansoo jab sammaanit honge mujhko yaad kiya jayega
Jahan prem ka charcha hoga mera naam liya jayega
Maanpatra main nahin likh saka
Raajbhavan ke sammaanoN ka
Main to aashiq rahaajanam se
Sundarta ke diivaanoN ka
Lekin tha maaloom nahin ye
Keval is galti ke karan
Saari umra bhatakne wala, mujhko shaap diya jayega
Khilne ko tayyar nahiin thi
Tulsi bhi jinke aangan mein
Maine bhar bhar diye sitaare
Unke maTmaile daaman mein
PiiDa ke sang raas rachaya
Aankh bhari to jhoom ke gaya
Jaise main ji liya kisii se kya is tarah jiya jayega
Kaajal aur kataakshon par to
Jhoom rahi thi duniya saari
Maine kintu barasne waali
Aankhon ki aarti utaari
Rang uD gaye sab satrangi
taar taar har saans ho gayi
FaTaa hua yeh kurta ab to jyada nahin siya jayega
Jab bhi koi sapna TooTa
Meri aankh wahaan barasi hai
TaDpa hoon main jab bhi koi
Machli paani ko tarasi hai
Giit dard ka pehla beta
Dukh hai uska khel kilauna
Kavita tab miira hogi jab hanskar zahar piya jayega
Prayan Geet
- Jaishankar Prasad
Himaadri tung-shring se
Prabuddh shuddh bhaarti
Swayamprabha samujjwalaa
Swantrata pukaarti
Aamartya viir putra ho
Dridh pratigya soch lo
Prashast punya panth hai
Badhe chalo, badhe chalo.
Asankhya kiirti rashmiyaan
Vikiirna divya daah sii
Sapoot matribhoomi ke
Ruko na shoor saahasii
Aaraati sainya sindhu mein
Suvaadvaagni se jalo
Praviir ho jayee bano
Badhe chalo, badhe chalo.