Tum Nahin Gam Nahin
-Ramanjit
Tum nahin gam nahin sharaab nahin
aisi tanhai ka to jawaab nahin
Gahe gahe ise parha kijiye
dil se behtar koi kitaab nahin
Jaane kis kis ki maut aayi hai
aaj rukh pe koi nakaab nahin
Woh karam ungliyon pe ginte hain
zulm ka jin pe kuck hisaab nahin
Mail your comments at [email protected]
Main Index     Raman's Compositions