Sar Jhukaoge To Pathar
-Ramanjit
Sar jhukaoge to pathar devta ho jayega
itna mat chaho use woh bewafa ho jayega
Hum bhi dariya hain hume apna hunar maloom hai
jis taraf bhi chal parenge rasta ho jayega
Mein khuda ka naam lekar pi raha hoon doston
zehar bhi isme agar hoga dawa ho jayega
Ruth jana to mohabbat ki alamat hai magar
kya khabar thi mujhse woh itna khafa ho jayega
Mail your comments at [email protected]
Main Index     Raman's Compositions