Yaad Nahin Kya Kya Dekha
-Jagjit Singh
Yaad nahin kya kya dekha tha sare manzar bhul gaye
unki galiyon se jab laute apna hi ghar bhul gaye
Khub gaye pardes ke apne deewar-o-dar bhul gaye
sheesh mahal ne aisa ghera miti ke ghra bhul gaye
Tujhko hi jab apni kasmen apne vaade yaad nahin
hum bhi apne khwab teri aankhon mein rakh kar bhul gaye
Jinka unhon ne katal kiya hai koi unhe samjhaye nazir
meri laash ke pahlu mein woh apna khanjar bhul gaye
Mail your comments at [email protected]
Main Index     Jagjit Singh Index