Woh Khat Ke Purze
-Jagjit Singh
Woh khat ke purze ura raha tha
hawaon ka rukh dikha raha tha
Kuch aur bhi ho gaya numaiya
main apna likha mita raha tha
Usi ka imaan badal gaya hai
kabhi jo mera khuda raha tha
Woh ek din ek ajnabi ko
meri kahani suna raha tha
Woh umr kam kar raha tha meri
main saal apne bara raha tha
Mail your comments at [email protected]
Main Index     Jagjit Singh Index