Khamoshi Khud Apni
-Jagjit Singh
Khamoshi khud apni sada ho aisa bhi ho sakta hai
sanata hi gunj raha ho aisa bhi ho sakta
Mera mazi mujhse bichar kar kya jane kis haal mein hai
meri tarhan woh bhi tanha ho aisa bhi ho sakta hai
Sehra sehra kab tak main dhoondu ulfat ka alam
alam alam ek sehra ho aisa bhi ho sakta hai
Pehle toofan soch rahe hain sahil dooba jata hai
khud unka dil doob raha ho aisa bhi ho sakta hai
Mail your comments at [email protected]
Main Index     Jagjit Singh Index