Apne Hoton Par Sajana
-Jagjit Singh
Apne hoton par sajana chahta hoon
aaj tujhe main gungunana chahta hoon
Koi aasun tere daman par gira kar
boond ko moti banana chahta hoon
Thak gaya main karte karte yaad tujhko
ab tujhe main yaad aana chahta hoon
Aakhri hichki tere daman par jaye
maut bhi main shayarana chahta hoon
Mail your comments at [email protected]
Main Index     Jagjit Singh Index