Huzur Aapka Bhi Ehatraam
-Jagjit Singh
Huzur aapka bhi ehatraam karta chalun
idhar se guzra tha socha salaam karta chalun
Nigah-o-dil ki yehi tamana hai
tumhari zulf ke saaye mein shaam karta chalun
Unhe yeh zid ke mujhe dekh kar kisi ko na dekh
mera yeh shauk ke sabse kayaam karta chalun
Yeh mere khwabon ki duniya nahin sahi lekin
ab aa gaya hoon to do din kalaam karat chalun
Mail your comments at [email protected]
Main Index     Jagjit Singh Index