Aap Ko Dekh Kar Dekhta
-Jagjit Singh
Aap ko dekh kar dekhta reh gaya
kya kahun aur kehne ko kya reh gaya
Aate aate mera naam sa reh gaya
uske hoton pe kuch kapta reh gaya
Woh mere samne hi gaya aur main
raaste ki tarhan dekhta reh gaya
Jhooth wale kahin se kahin bar gaye
aur main tha ke sach bolta reh gaya
Aandhiyon ke irade to ache na the
yeh diya kaise jalta hua reh gaya
Unki aankhon se kaise chalakne laga
mere hoton pe bhi majra reh gaya
Aise bichre sabhi raat ke mor par
aakhri humsafar rasta reh gaya
Soch kar aao ku-e-tamana hai yeh
janeman jo yahan reh gaya reh gaya
Mail your comments at [email protected]
Main Index     Jagjit Singh Index