Itna Toota Hoon
-Ghulam Ali
Itna toota hoon ke choone se bikhar jaonga
ab agar aur dua doge to mar jaonga
Puck kar mera pata waqt rayega na karo
main to banjara hoon na jaane kidhar jaonga
Har tarf dhund hai jugnu hai na chirag hai
kaun pehchaanega basti mein agar jaonga
Zindagi mein bhi musafir hoon teri kashti ka
tu jahan mujhse kahegi main utar jaonga
Ful reh jayenge guldano mein yaadon ki nazar
main to khushboo hoon fizaon mein bikhar jaonga
Mail your comments at [email protected]
Main Index     Ghulam Ali Index