Hangama ik college mein kia hai khara
Abhi parson ki baat sunaaoon
Phir aya khayal apni saza ka
Socha chalo hostel se hi bhaag jaaon

Mein abhi thi raastay mein
Ke ik toofaan se gaee takraa
Peechay tha thaana, aagay qaristaan
Dain college, bain toofaan
Haa�ay jaaon to jaoon kahan

Meinay muskra ke dekha us qatil nazar ko
Bola who muskara ke, jaati ho kahan
Meri shehzadi, dhoonda nahi tujhaay
Meinay Kahan  kahan

Sheher tery liye khangaal daala
Gutter bhi dhoaay sab, tuu thi kahan

Mein thori muskarai, paya jo kuch hosla
Dekh ab to hai teray haath meri laaj
Ley jaa paas wardon ke, ya ban ja sartaaj

woh muskarata raha, aur nazdeek aanay laga
bola bari raoonat se, le jaa raha hoon ik jagha tujhay

duniyaa bhi na dhoond pay gee tujhko
waapis bhi aana na chaahay gee tuu

aa meri aakhon mein sama jaa
mray dil mein karley basaira

mein khushi se phoolay na samaee
chum se aankhon mein utri
dhum se dil mein koodi

dil ka rasta dhoodh rahi thi
soch rahi thi jaaon kahan
ke kuch qehqahay sunai diye

dil ke nichlay khanay mein jo jhaanka
ik saman badhaa nazar aya
aankhon se usski jam aatay thay
taash ki baazi bhi chal rahi thi

mujhsay bhi kaha ussnay
mehfil mein shaamil hojaaon

mager meray bas mein hargiz na thi ye baat
ke mera siwaa koi aur bhi rahta ho dil mein usskay

woh bola, ke dil mein hai buhat jagha meray
raqeebon ke sang mein bhi baith jaaoon

meri ghairat ko na tha yeh gawara
aur darja bhi mera tha kamter sab se
jee mein aya, ke kiyoon na laut jaaon

phir ik aur qayamat thi, barpa
dil ke ghatnay barhnay se tha dar laga
mein nanni si jaan kahin piss hi na jaaon

aur phir mera jhagra hogaya hai
raqeeban-e-mehfil se
sab nay yehi kia mashwara baham
ke mein ab dil se usskay nikaali jaaon

mein thi akaili, aur raqeeb thay buhat
maani baat unhi ki, mein to thi, ik khail
buhat be aabaruu hokar nikli teray dil se
dil chahata hai kahin doab ke marjaon

aur yeh soch rahi hoon ke dil se teri jab se nikli
to phir ab college se bhi nikaali jaaon
page 2
Hosted by www.Geocities.ws

1