MUSKAAN
Ishq hansaata hai, ishq rulaata hai Ishq deewaana yahan sab ko banaata hai Kisi ki yaad rehti hai, kisi ka khayaal hota hai Ishq mein aksar logon ko bura haal hota hai Yeh ishq ishq hai ishq, yeh ishq ishq hai ishq - 2 Ishq hansaata hai, ishq rulaata hai - 2 Ishq deewaana yahan sab ko banaata hai Ishq bina kahin chain na aata hai - 2 Dil rokeya bada ve, tokeya bada ve Ishq ne dil ki na maani, na maani Dil rokeya bada ve, tokeya bada ve Ishq ne dil ki na maani Ishq hansaata hai, ishq rulaata hai Ishq deewaana yahan sab ko banaata hai Ishq bina kahin chain na aata hai - 2 Dil rokeya bada ve, tokeya bada ve Ishq ne dil ki na maani, na maani Dil rokeya bada ve, tokeya bada ve Ishq ne dil ki na maani (Koi humko sirf yeh bata de Tanhaai kyoon mile ishq mein) - 2 Ek chot si lagi dil pe, poochho na kya hua Aankhon mein hai chhupe aansu, honton pe hai bas dua Dil rokeya bada ve, tokeya bada ve Ishq ne dil ki na maani, na maani Dil rokeya bada ve, tokeya bada ve Ishq ne dil ki na maani Har pal rehti badi beqaraari Koi kaise jeeye yaar bin Ho, har pal rehti badi beqaraari Koi kaise jeeye yaar bin Anjaane mein deewaanon se hoti hai yeh khata Manzil milegi kab kaise kisko yahan hai pata Dil rokeya bada ve, tokeya bada ve Ishq ne dil ki na maani, na maani Dil rokeya bada ve, tokeya bada ve Ishq ne dil ki na maani Ishq hansaata hai, ishq rulaata hai Ishq deewaana yahan sab ko banaata hai Ishq bina kahin chain na aata hai - 2 Dil rokeya bada ve, tokeya bada ve Ishq ne dil ki na maani, na maani Dil rokeya bada ve, tokeya bada ve Ishq ne dil ki na maani Jaaneman chupke chupke, saari duniya se chhupke O jaaneman chupke chupke, saari duniya se chhupke Tumne aisi baat kahi dil mera kho gaya Jaaneman chupke chupke, saari duniya se chhupke Tumne aisi baat kahi dil mera kho gaya - 2 Na jaane kab pyaar ho gaya, sanam ikraar ho gaya - 2 (Ishq hansaata hai, ishq rulaata hai Ishq deewaana yahan sab ko banaata hai) - 2
Jaaneman chupke chupke, saari duniya se chhupke Tumne aisi baat kahi dil mera kho gaya Jaaneman, jaaneman, jaaneman, jaaneman Jaaneman chupke chupke, saari duniya se chhupke Tumne aisi baat kahi dil mera kho gaya Jaaneman chupke chupke, saari duniya se chhupke Haan jaaneman chupke chupke, saari duniya se chhupke Jaaneman chupke chupke, saari duniya se chhupke Tumne aisi baat kahi dil mera kho gaya Na jaane kab pyaar ho gaya, sanam ikraar ho gaya - 2 Jaaneman chupke chupke, saari duniya se chhupke - 2 Tumne aisi baat kahi dil mera kho gaya Na jaane kab pyaar ho gaya, sanam ikraar ho gaya - 2 Teri har muskaan mein na jaane kaisa jaadu hai - 2 Bin dekhe hi dilbar tera yeh aashiq beqaabu hai Main bhi tujhe pal pal mehsoos karti hoon - 2 Teri kasam Is mausam ki baahon mein, anjaani in raahon mein - 2 Tumne aisi baat kahi dil mera kho gaya Na jaane kab pyaar ho gaya, sanam ikraar ho gaya - 2 Tere hi baare mein dilbar maine subh-o-shaam likha - 2 Har dhadkan pe bechaini mein maine tera naam likha Main jee nahin sakta hoke judaa tujhse - 2 Jaan-e-vafa Gulshan mein veeraanon mein, aake mere kaanon mein - 2 Tumne aisi baat kahi dil mera kho gaya Na jaane kab pyaar ho gaya, sanam ikraar ho gaya - 2 Jaaneman chupke chupke, saari duniya se chhupke Arre jaaneman chupke chupke, saari duniya se chhupke Tumne aisi baat kahi dil mera kho gaya Na jaane kab pyaar ho gaya, sanam ikraar ho gaya - 2
Jis din teri meri baat nahin hoti - 2 Din nahin guzarta, raat nahin hoti - 2 Naiyyo lagda dil tere bina, naiyyo lagda dil tere bina - 2 Jis din teri meri baat nahin hoti - 2 Din nahin guzarta, raat nahin hoti - 2 Naiyyo lagda dil tere bina, naiyyo lagda dil tere bina - 2 Har ghadi aaj kal bas tera intezaar rehta hai O, har ghadi aaj kal bas tera intezaar rehta hai Bhar loon aake tujhko baahon mein dil deewaana kehta hai Dil deewaana kehta hai Chori chori jis din mulaaqaat nahin hoti - 2 Din nahin guzarta, raat nahin hoti - 2 Naiyyo lagda dil tere bina, naiyyo lagda dil tere bina Kya karoon ek siva ab tere kuch bhi achha lage na Ho, kya karoon ek siva ab tere kuch bhi achha lage na Saari duniya mujhe lage jhooti, kuch bhi sacha lage na Kuch bhi sacha lage na Pyaarwaali jis din barsaat nahin hoti - 2 Din nahin guzarta, raat nahin hoti - 2 Jis din teri meri baat nahin hoti - 2 Din nahin guzarta, raat nahin hoti - 2 Naiyyo lagda dil tere bina, naiyyo lagda dil tere bina - 3
(Kabhi jaage soye, kabhi hanste gaate Kabhi tanha tanha, kabhi aate jaate) -2 Dil dhadakne lage bevaje besabab -2 Kya isi ko mohabbat kehte hain sab -2 Kabhi jaage soye, kabhi hanste gaate Kabhi tanha tanha, kabhi aate jaate Dil dhadakne lage bevaje besabab -2 Kya isi ko mohabbat kehte hain sab -2 Kabhi jaage soye, kabhi hanste gaate Kahin ruk gaya to kahin main chal pada Zamaana yeh samjha deewaana main bada Yeh main bhi na jaanoon main kya chaahta Meri kya tamanna main kya sochta Kabhi rafta rafta, kabhi chalti chalti Bechaini de de chaahat bedardi Dil dhadakne lage bevaje besabab -2 Kya isi ko mohabbat kehte hain sab -2 Kabhi jaage soye, kabhi hanste gaate Koi ek chehra khayaalon mein rahe Main aashiq usi ka voh chupke se kahe Mera haal kya hai kise hai pata Meri beqaraari na main jaanta Kabhi tanhaai mein, kabhi mehfil mehfil Kise dhoonde aankhen ab manzil manzil Dil dhadakne lage bevaje besabab -2 Kya isi ko mohabbat kehte hain sab -2 Kabhi jaage soye, kabhi hanste gaate Kabhi tanha tanha, kabhi aate jaate Dil dhadakne lage bevaje besabab Dil dhadakne lage bevaje besabab -3
Maine jisko dil yeh diya hai, dil yeh diya hai Maine jisko pyaar kiya hai, jisko pyaar kiya hai Maine jisko dil yeh diya hai Maine jisko pyaar kiya hai Voh ho tum voh ho tum, voh ho tum voh ho tum - 2 Maine jisko dil yeh diya hai, dil yeh diya hai Maine jisko pyaar kiya hai, jisko pyaar kiya hai Maine jisko dil yeh diya hai Maine jisko pyaar kiya hai Voh ho tum voh ho tum, voh ho tum voh ho tum - 2 Maine jisko dil yeh diya hai Tumhe paake dilbar mujhe lag raha hai Meri zindagi mein na ab kuch kami hai Ho, tumhe paake dilbar mujhe lag raha hai Meri zindagi mein na ab kuch kami hai Tumhaare labon pe jo bikhri kali hai Voh shabnam nahin hai, vafa ki nami hai Jisne mera chain liya hai, mera chain liya hai - 2 Maine jisko dil yeh diya hai Maine jisko pyaar kiya hai Voh ho tum voh ho tum, voh ho tum voh ho tum - 2 Maine jisko dil yeh diya hai Sambhaala tha maine bahut apne dil ko Magar yeh deewaana machalne laga hai Oh, sambhaala tha maine bahut apne dil ko Magar yeh deewaana machalne laga hai Mili teri meri nazar jab se dilbar Khayaalon ka mausam badalne laga hai Mere bas mein na mera jiya hai, mera jiya hai - 2 Maine jisko dil yeh diya hai Maine jisko pyaar kiya hai Voh ho tum voh ho tum, voh ho tum voh ho tum - 2 Maine jisko dil yeh diya hai, dil yeh diya hai Maine jisko pyaar kiya hai, jisko pyaar kiya hai Maine jisko dil yeh diya hai Maine jisko pyaar kiya hai Voh ho tum voh ho tum, voh ho tum voh ho tum Voh ho tum voh ho tum, voh ho tum voh ho tum
Nach punjaaban nach nach nach nach -4 (Nach punjaaban nach le jatt de naal ve Hogi apni shaadi ab ke saal ve) -2 Sorry baba sorry, rahoongi main kanwaari -2 Main na banoongi ab kabhi bhi tumhaari -2 Nach punjaaban nach nach nach nach -4 Hoye, nach punjaaban nach le jatt de naal ve Hogi apni shaadi ab ke saal ve Nach punjaaban nach le jatt de naal ve Hogi apni shaadi ab ke saal ve, oye! Meri neendein lene waali, teri aankhen kaal kaali O deewaane main dilwaali, tera dil hai khaali khaali Karta hai yeh mujhko ishaara teri laung da lashkaara Chal hat o mere dildaara, tera ishq hai jhoota saara Main mar jaavaan aisi teri chaal ve Hogi apni shaadi ab ke saal ve Nach punjaaban nach le jatt de naal ve Hogi apni shaadi ab ke saal ve Sorry baba sorry, rahoongi main kanwaari -2 Main na banoongi ab kabhi bhi tumhaari -2 Nach punjaaban nach nach nach nach -4 Jhooti mooti baatein karna, chhod de aise mujhpe marna Chori chori aahein bharna, duniya se to ab tu darr na Tere pyaar ne kiya hai ghaayal, tere roop ne mujhko loota Main kaise karoon bharosa, tu lagta hai mujhko jhoota Mujhpe na tu aise nazrein daal ve Arre hogi apni shaadi ab ke saal ve Nach punjaaban nach le jatt de naal ve Hogi apni shaadi ab ke saal ve Sorry baba sorry, rahoongi main kanwaari -2 Main na banoongi ab kabhi bhi tumhaari -2 (Nach punjaaban nach le jatt de naal ve Hogi apni shaadi ab ke saal ve) -2 Sorry baba sorry, rahoongi main kanwaari - 2 Main na banoongi ab kabhi bhi tumhaari - 2 Nach punjaaban nach nach nach nach - 8
Mujhe ishq hua kab kaise tujhse mere jaanam Dil mujhse poochh raha hai Tujhe yaar kahoon ke yaaram Mujhe ishq hua kab kaise tujhse mere jaanam Dil mujhse poochh raha hai Tujhe yaar kahoon ke yaaram Nami daanam nami daanam, nami daanam nami daanam Nami daanam nami daanam, nami daanam nami daanam Mujhko neend na ab aaye, har pal dhadkan tadpaaye -2 Betaabi kyoon rehti hai har dam Kyoon meri paayal bajti hai chham chham Nami daanam nami daanam, nami daanam nami daanam -2 Mujhe ishq hua kab kaise tujhse mere jaanam Dil mujhse poochh raha hai Tujhe yaar kahoon ke yaaram Tujhko khabar na diljaani main to ban gayi deewaani -2 Chaahoon tujhe jitna bhi, lagta hai mujhe kam Honton pe rehti hai bas teri sargam Nami daanam nami daanam, nami daanam nami daanam -2 Mujhe ishq hua kab kaise tujhse mere jaanam Dil mujhse poochh raha hai Tujhe yaar kahoon ke yaaram Nami daanam Nami daanam -7 Nami daanam nami daanam, nami daanam nami daanam Nami daanam nami daanam, nami daanam
Yaad aayi, yaad aayi, phir tumhaari yaad aayi - 2 Aisa lagta hai mujhe to Aisa lagta hai mujhe to, maar daalegi judaai Yeh judaai, yeh judaai, maar daalegi judaai Yaad aayi, yaad aayi, phir tumhaari yaad aayi Aa bhi jaao aa bhi jaao, ishq de tumko sada Na akele reh sakogi bhoolke meri vafa Kuch nazar aaye nahin Kuch nazar aaye na mujhko Aankhon mein bas tum ho chhaayi - 2 Tum ho chhaayi, tum ho chhaayi Aankhon mein bas tum ho chhaayi Yaad aayi, yaad aayi, phir tumhaari yaad aayi Tum nahin aate tumhaari yaad aati hai sanam Kya bataaoon kis tarah mujhko rulaati hai sanam Ab mujhe khaamoshiyon mein - 2 Dhadkanein deti sunaayi - 2 Dhadkanein deti sunaayi, dhadkanein deti sunaayi Yaad aayi, yaad aayi, phir tumhaari yaad aayi Dooriyaan majbooriyaan hai, haal-e-dil kaise kahoon Tanha tanha bebasi ka dard main kaise sahoon Tum kaho to chhod doon, ho Tum kaho to chhod doon main Ek pal mein yeh khudaai - 2 Ek pal mein yeh khudaai, chhod doon main yeh khudaai Yaad aayi, yaad aayi, phir tumhaari yaad aayi Aisa lagta hai mujhe to Aisa lagta hai mujhe to, maar daalegi judaai Yeh judaai, yeh judaai, maar daalegi judaai Yaad aayi, yaad aayi, phir tumhaari yaad aayi