Poets Index

 

 

Athar Nafees

 

Contribute Poetry

 

 

sochate aur jaagate saa.Nso.n kaa ik dariyaa huu.N mai.n

sochate aur jaagate saa.Nso.n kaa ik dariyaa huu.N mai.n 
apane gum_gashtaa kinaaro.n ke liye bahataa huu.N mai.n 

[gum-gashtaa=lost] 

jal gayaa saaraa badan in mausamo.n kii aag me.n 
ek mausam ruuh kaa hai jis me.n ab zindaa huu.N mai.n 

mere ho.nTho.n kaa tabassum de gayaa dhokhaa tujhe 
tuune mujhako baaG jaanaa dekh le seharaa huu.N mai.n 

dekhiye merii paziraa_ii ko ab aataa hai kaun 
lamhaa bhar ko vaqt kii dahaliiz par aayaa huu.N mai.n 

[paziraa_ii=acceptance] 
 

 

 

 

 

 

Contributed by Ali

 
 

 

 

  © Copyright 2007 Sachal FM105. All Rights Reserved.

Webmaster  Ali   
Hosted by www.Geocities.ws

1