Madhushala meaning the place where the world is forgotten by the divine power of vine the same power is shown in pen by shree Harivansh Rai Bacchan . this power has its effect on hearts a short part of this great creation is given bellow to enjoy the power of "nasha"
madiralay jane ko ghar se chalta hai peene wala
kis path se mein jaaon assmanjas mein hai woh bhola bhala
alag-2 path batalate sab par mein yeh batalata hoon
raah pakad le ek chala chal paa jayega madhu shala
sun kal -2 chal-2 madhughat se girti pyalon me haala
sun run jhun-2 jal ki tarang karti
bas aa pounhunche dur nahin kuch char kadam chalna hai
chahak rahe hai sur peene wale mahak rahi hai madhushala
lal sura ki Dhar lapat si kahin na dena ise jvala
hai nil madira hai mat is ko kaha dena ur ka chala
dard nasha hai is madira ka vigat smarityan saqui hai
peeda main aanand jise hai aaye meri madhushala
dharm granth sab jala chuki hai jiske antar ki jawala
mandir masjid girje sab ko tod chuka jo matwala
pandit moulvi padrion ke phandon ko jo kaat chuka
kar sakti hai aaj usika swagat meri madhushala
lalaiyait adharon se jisne hai nahin chumi hala
harsh bhi gham bhi tarase jisene aur na chuva madhu ka piyala
haath pakad lajit saqui se sans nahin jisne kheja
virath sukha dali jeevan ki usne madhumay madhushala
bane pujari premi saqui aur ganga jal pavan hala
rahe pherta avirat gati se madhu ke piyalon ki mala
aur liye ja aur piya jaisee mantra ka jaap kiye ja
main shiv ki pratima ban baithun mandir ho yeh madhushala
ek baras mein ek bar hi jalti holi ki jawala
ek bar hi lagti baazi jalti deepon kee mala
duniyawalon kisi din aa madiralay mein dekho
din ko holi raat diwali rooz manati madhushala
adhron par ho koi bhi ras jivha par dalti hala
han jan ho koi lagta rakhata hantho par piyala
har surat saque ki surat mai parivartit ho jati
aankhon ke aage ho kuch bhi aankhon mein hai madhushala
do din hi madhu mujhje pila kar uub uthi saqui bala
har pal ab sarka deti hai vah mere aage piyala
naaz aada andazon se ab hai pilana door huva
ab to kar deti hai keval farz adayee madhushala
chote se jeevan mein kitna pyar karon pee loon hala
aane ke hi saath jagat mein kahalaya janewala
swagat ke hi saath vida ki hoti dekhi taiyarri
band lagi hone khulte hi meri jeevan madhushala
shant saki ho ab tak saqui pee kar kis ur ki jawala
aur-2 ki ratan lagata jata har koi peene wala
kitni ichhayen har jane wala chod yanaha he jata
kitne armanon ki bankar kabr khadi hai madhushala
yam aayaga saqui bankar sath liye kali hala
pee na honsh mein phir aayega sura visudh yeh matwala
yeh antim behonshi antim saqui antim piyala hai
pathik pyar se peena isko phir na milegi madhushala
mere shav par woh roye ho jiske aansoon mein hala
aanh bhare wah jo ho surbhit madira pee kar matwala
de mujhko kandha jinke pad-mad DAGMAG HOTE ho
aur jalon us aur jahan kabhi rahi ho madhu shala