A tribute to the legend
"Harivansh
Rai BachaN"
Lehron se darkar nauka par nahin hoti,koshish karne walon ki
haar nahin hoti,
Nanhi cheenti jab daana lekar chalti hai,chadhti deewaron par, sau bar phisalti
hai.
Man ka vishwas ragon mein saahas bharta hai,chadhkar girna, girkar chadhna na
akharta hai.
Akhir uski mehnat bekar nahin hoti,koshish karne walon ki haar nahin hoti.
Dubkiyan sindhu mein gotakhor lagata hai,ja ja kar khali haath lautkar aata
hai.Milte nahi sahaj hi moti gehre paani mein,badhta dugna utsah isi hairani
mein.
Muthi uski khali har bar nahin hoti,Koshish karne walon ki haar nahi hoti.
Asaflta ek chunauti hai, ise sweekar karo,kya kami reh gayi, dekho aur sudhar
karo.
Jab tak na safal ho, neend chain ki tyago tum,Sangharsh ka maidan chhodkar mat
bhago tum.Kuch kiye bina hi jai jaikar nahin hoti,koshish karne walon ki haar
nahin hoti.
-Harivansh Rai Bachan
Madhusala















