Aap Beetee
Dosto,
Falling short of words for the appropriate "About Me" description. Let me start from very beginning.
Paida hone ka gunah maine Gwalior main kiya (Javed Sahab ka tarkash yaad aa gaya). Gwalior, Madhya Pradesh ka ek chota sa shahar jahan maine apne sabse haseen lamhe gujare.Gwalior kee wo sadken jinhain scooter par sirf adhe ghante main naapa ja sakta hai, par muncipality kee meharbanee se do teen din bhee kam hee rahenge. Carmel Convent School naam ke ek jaheen se school main taleem payee.School ke compound main Gulmohar ke do ped aur chuttee ke bahar gate par khada chatwala aaj bhee smriti patal par taja hai.Interval main patthar kee football bana kar khelna aur uske liye kai baar sister kee daant khana achhe se yaad hai.Sabse sukhad palb "chuttee kee ghanti ".Sabse bada dar,"TC de dee jayegee". Huddang karne par sarkaree school ke bachhon se tulna.
Par yaden hai.Dil ke kareeb.Kuch chehre jo samne hain,Kuch chehre jo sirf internet kee lambee chodee deewaron ke peeche hain , aur kuch chehre jo sirf manas patal par ankit hain.
Shayad kuch chehre aise bhee hain jo main bhool chuka hoon, par dil ko malal hai har bhoole hue chehre par.Narajgee hai, har bhoole chehre par,apne aap se.
M.P. PET dokhe se par lag gayee.Suna hai Bhopal bahut bada shahar hai. Ladka engineering ke liye jane wala hai.Maan ko lag raha hai ladka paraya ho gaya. Mujhse kahtee hain -"chidiya kee yahee niyati hai, bachhe bade hote hain aur ghonsla chor dete hain.Naye ghonsle bante hai,jindagee chaltee hai".Hmmmm......Mummy ne hindi literature main to MA nahin kiya, ye achanak se mummy ko kya hua ....Ha...Ha...Ha...And I laugh off the matter.Par apne aap se wada hai apne ghonsle main wapas lautne ka.
R.E.C Bhopal,M.A.C.T-Shandar college,shandar log.Ek career ka sapna,ladakpan kee umang.Hanste lamhe,chatpatee khabren, sharartee hudang. Degree pooree kee, aur ek achhee see naukri bhee payee-company ka naam MBT.
Agla padav pune hai. Dost kahte hain ki pune main agar ladkee nahin pata paya to fissaddee kahlayega. Ha..Ha..Ha..Pune shandar hai.Kya yahin bas jaoon? Ye khayal baar baar uthta hai .Par abhee to main banjara hoon. MBT-meree annadata jisne mujhe Pune se England main la patka.Jagah ka naam Ipswich, chotee see jagah, par bahut khoobsoorat. Rishteydaron ko jabse pata chala hai ki main UK main hoon,ye maan liya gaya hai ki main London kee dhartee ka hee bhoj badha raha hoon.Maine aur mere pariwar ne kitnee bar bataya ki jagah Ipswich hai par UK ka matlab shayad London hota hai India main. Jindagee gujar rahee hai,manjilen pane ko aur bhee hain,par samay shayad ruk sa gaya hai.Watan yaad ata hai.Pariwar yaad ata hai.Kadhee,aloo ghobhee,chola bhatoora,lassee yaad atee hai.Dost yaad ate hain,Pimpri ka swimming pool yaad ata hai,Gwalior kee sadken yaad atee hain,Diwali kee dhoom aur holi kee masti,abeer gulal aur sutlee bomb,Internet na hota to shayad abhee tak atmhatya kar chuka hota ..Abhee sab kahin kho gaya hai...Par suna hai ki lautne ka saamy ane wala hai. Main khush hoon. Is site par apka swagat hai.Mujhe mailachar aap is mail id par karen [email protected].Koi bhoola hua chehra aj mujhe phir is site ke jariye yaad aya to ye chota sa prayas safal ho jayega.
Home
|