Tere Bare Mein Jab
-Jagjit Singh
Tere bare mein jab socha nahin tha
main tanha tha magar itna nahin tha
Teri tasveer se karta tha baten
mere kamre mein aaina nahin tha
Samundron ne mujhe pyasa hi rakha
main jab sehra mein tha pyasa nahin tha
Manane roothne ke khel mein
bichar jayenge yeh socha nahin tha
Suna hai band kar li usne aankhen
kayi raaton se woh soya nahin tha
Mujhse Bichar Kar
Mujhse bichar kar khush rehte ho
meri tarhan tum bhi jhoothe ho
Ek tahni par chaand tika tha
main yeh samjha tum behte ho
Ujle ujle phool khile the
bilkul jaise tum haste ho
Mujhko shaam bata deti hai
ke tum kaise kapre pehne ho
Tum tanha duniya se laroge
bachon jaisi baten karte ho
Tumne Dil Ki Baat Kehdi
Tumne dil ki bat kehdi aaj yeh acha hua
hum tumhe apna samajhte the yeh bara dhoka hua
Jab bhi humne kuch kaha uska asar ulta hua
aap shayad bhulte hain baar-haar aisa hua
Aapki aankhon mein yeh aasun kahan se aa gaye
hum to deewane hain lekin aapko yeh kya hua
Ab kisi se kya kahen iqbal apni dastan
bas khuda ka shukar hai jo bhi hua acha hua
Aha Ko Chahiye
Aha ko chahiye ek umr asar hone tak
kaun jita hai teri zulf ke sar hone tak
Humne mana ke tagakul na karoge lekin
khaak ho jayenge hum tumko khabar hone tak
Aashiqui sagrah talab aur tamana dekha
dil kya rang karun khoon-e-jigar hone tak
Gam-e-hasti ka asad kaise ho jo hai beilaaj
shama jalti hai har rang mein sehar hone tak
Haath Chute Bhi To
Haath chute bhi to rishte nahin chora karte
waqt ki shaakh se lamhe nahin tora karte
Jiski awaaz mein silwat ho nigahon mein shikan
aisi tasveer ke tukre nahin jora karte
Shehad jine ka mila karta hai thora thora
jaane walon ke liye dil nahin tora karte
Lagke sahil se jo behta hai use behne do
aise dariya ka kabhi rukh nahin mora karte
Shaam Se Aankh Mein
Shaam se aankh mein nami si hai
aaj phir aapki kami si hai
Dafan kardo hume ke saans mile
nabz kuch der se thami si hai
Waqt rukta nahin kahin tik kar
iski aadat bhi aadmi si hai
Koi rishta nahin raha phir bhi
ek tasleem bhi lazmi si hai
Zindagi Yun Hui Basar
Zindagi yun hui basar tanha
kafila saath aur safar tanha
Apne saaye se chauk jate hain
umr guzri hai is kadar tanha
Raat bhar bolte hai sanate
raat kate koi kidhar tanha
Din guzarta nahin hai logo mein
raat hoti nahin basar tanha
Humne darwaze tak to dekha tha
phir na jaane gaye kidhar tanha