Back to my homepage

 

 

Maine usko Dekha Angle Badal Badal ke

Usne mejhe marra Sandle Badal Badal ke

Ladka: Kaash in hasinaaon kay baap mar jayen'
             Bahana ho afsos ka hum inke ghar to jayen
Ladki: Aisa sochna bhi aye zalim paap hoga
             Kabhi tu bhi kisi hasina ka baap hoga

Gul gaya, Gulshan gaya, Gaye honthon ki laaali
Ab to peeecha chod de, main ho gayee bachchon waali

Katchi Kali Katchnar Ki, Katcha Na Samjh mujhko
Lad Jaoonga Tere Baap Se Batcha Na Samajh mujhko

Dil Logi, Ke Jaan Logi
Meri Jaan Set Hone main Kitna Time Logi

Soldier Soldier.....pressure cooker khol kar
Chicken ka peice udaa le gaya

Kuch Kuch Hota Hai,
Exam paas aaye, sir mera dukhaye
Teacher ne na jaaane kyun, dande dikhaye,
Ab to mera sir, jaage na sota hai,
Kya karoon haye, kuch kuch hota hai....

Woh jab chalti hai to raahon main 100-100 ke note bichata hoon
Woh chaali jati hai tab uthaa leta hoon

Sheeshi bhari gulab ki, sheesha chatak gaya,
Buddhi ne aankh maari, buddha latak gaya

Patharr kyun marte ho, pura pahaad maar do
Hum yuheeen mar jayenge, sirf ek baar aankh maar do

Yeh tera chehra hai yaa kele  ka chhilka
Jo dekha to dil phisal gaya?????

Tairna Hai To Paani Main Aao, Kinare Pe Kya Rakha Hai
Ishq Karna Hai To Khul kar samne aao, Isharo main Kya Rakha Hai

Maine tumhare yadon mein ro ro ke tub bhar diya
Magar tum itne bewafa nikle, ki naha ke chal diye

Aaakhain taras gaye tumhara khayal aa gaya
Ab to chehra dikha do, naya saal aaa gaya

Agar ghar main diya jale
To diwali mat samjho
Agar main tera peeche padoon
To mawali mat samjho

Janaza Mera Nikla, Duniya Dekh Ne Nikli
Magar Woh Zalim Na Nikli, Jiske Liye Mera Janaza Nikla

Apple kat ta hoon knife se,
Paani peeta hoon pipe se,
Kya zamana aaa gaya,
Joote khata hoon wife se

Pyar mein kisine Dhoka to kisine kasam khayi hai
Hum wo majnoo hai jisne sirf laat khayi hai

Gam woh cheez hai
Gam woh cheez hai
Jisse kagaz chipkaye jaate hain

Humne bhi pyar kiya tha zindgi main,badi joshh ke sath !
Humne bhi pyar kiya tha zindgi main,badi shhor ke sath !
Aab hum pyar karenge badi soch ke sath !
Kyon ki usey kal shamko dekha kisi aur ke sath !

Unki zulfoon pe pyaar aaya
Paas ja kar dekha tu sardar paya

Duniya Se Jo Darre, Usse Kaayar Kehte Hain,
Duniya Jisse Darre, Usse Shaayar Kehte Hain

Back to my homepage

Hosted by www.Geocities.ws

1