Zara dholki bajao goriyo
Mere sang sang gao goriyo
Sharmayo na lagaakey mehndi
Zara taaliyan bajao goriyo


Yeh ghari hai milan ki
Aik sajan se sajan ki
Yeh ghari hai milan ki
Aik sajan se sajan ki


Geet aisa koi gao goriyo
Aisi dholki bajao goriyo
Zara innki bhi chaal dekhlo
Aaj inko bhi nachao goriyo


Aisa hoga, naach gaana
Jhoom uthay ga, yeh zamana
Aaj tum bhi, aazmana
Hur adhayay, dil banana

Aisa hoga, naach gaana
Jhoom uthay ga, yeh zamana
Aaj tum bhi, aazmana
Hur adhayay, dil banana

Zara jaldi se jao goriyo
Koi aaina tho lao goriyo
Innhay naaz hai bohot khud per
Inhey aaina dikhao goriyo


Kisi bedh ko bulao goriyo
Nafs inki dikhao goriyo
In ko husn per ghuroor hai bohot
Inka bara neechay lao goriyo


Hum ghalat they hum ney maana
Tum bhi waapus, leylo thaana
Larhnay ka yeh kub hai mauqa
Kya kahay ga yeh zamana

Kisi kazi ko bulao goriyo
Abhi faisla karao goriyo
Kahaan milay ko humsa dulha
Inhey dulhan banao goriyo

Aap kartay hain kaisee baatein
Aap kari hain kaisee baatein
Aray inhay samjhao goriyo
Ab sulha karao goriyo


Artist: Adnan Sami Khan
*Next*

*Back*


Hosted by www.Geocities.ws

1