Mere khwaabon mein jo aaye, meri neendon ko churaaye
Mera dil dhadkaaye, mera hosh udaaye
Ho, saajan, ho saajan
Aayega, aayega, aayega saajan
Mere khwaabon mein jo aaye, meri neendon ko churaaye
Mera dil dhadkaaye, mera hosh udaaye
O, haan saajan, ho saajan
Aayega, aayega, aayega saajan
Laheraayi jhoomke, masti kya chha gayi
Dekha jo aaina main to uff sharma gayi
Badla yeh roop mera aise, badli mein dhoop khile jaise
Pehli bahaar ka nasha hai, aankhon mein pyaar ka nasha hai
Mujhe aise tadpaaye, o mujhe vaise bahekaaye
Mujhe aise tadpaaye, mujhe vaise bahekaaye
Mera dil dhadkaaye, mera hosh udaaye
Ho, saajan, o saajan
Aayega, aayega, aayega saajan
Honton ko choom le, baahon ko thaam le
Aayega ek din voh mere saamne
Mera mehboob mera yaara, hoga voh chaand se bhi pyaara
Keh doongi saath leke jaaye, doli baaraat leke aaye
Mujhe seene se lagaaye, o mujhe saanson mein basaaye
Mujhe seene se lagaaye, mujhe saanson mein basaaye
Mera dil dhadkaaye, mera hosh udaaye
Ho, saajan, saajan
Aayega, aayega, aayega saajan
Haan saajan
*Back*

*Next*
I am in love with these two songs enjoy
(Mere khwaabon mein jo aaye
Aake mujhe chhed jaaye) - 2
Usse kaho kabhi saamne to aaye
Mere khwaabon mein jo aaye
Aake mujhe chhed jaaye
Usse kaho kabhi saamne to aaye
Mere khwaabon mein jo aaye

Kaisa hai, kaun hai woh, jaane kahan hai
Ho, kaisa hai, kaun hai woh, jaane kahan hai
Jiske liye mere honton pe haan hai
Apna hai ya begaana hai woh
Sach hai ya koi afsaan hai woh
Dekhe ghoor ghoor ke yunhi door door se
Usse kaho meri neend naa churaaye
Mere khwaabon mein jo aaye
Aake mujhe chhed jaaye
Usse kaho kabhi saamne to aaye
Mere khwaabon mein jo aaye

Jaadu sa jaise koi chalne laga hai
Ho, jaadu sa jaise koi chalne laga hai
Main kya karoon, dil machalne laga hai
Tera deewana hoon, kehta hai woh
Chhup chhupke phir kyoon rehta hai woh
Kar baitha bhool woh, le aaya phool woh
Usse kaho jaaye chaand leke aaye
(Mere khwaabon mein jo aaye
Aake mujhe chhed jaaye) - 2
Usse kaho kabhi saamne to aaye
La la, la la la la laa la - 2


Hosted by www.Geocities.ws

1