Film:- BIN BAADAL BARSAAT
Song:- Ek Baar Zara Phir
Singers:- Hemant Kumar, Lata Mangeshkar
Year of Release:- 1957
StarCast:- Biswajeet, Asha Parekh
LYRICS:-
Hemant:- Ek Baar Zara Phir Kahdo Mujhe sharmake tum diwana
Lata:- Aisi meethi meethi baatein karke
Aisi meethi meethi baatein karke kahan seekha hai dil ka lagana
Hemant:- O jane jaan..
Ek Baar Zara Phir Kahdo Mujhe sharmake tum diwana
Lata:- mmmhh..
Hemant:- Dil lekar raho door huzoor na humse
Karo itna ghuroor na humse
Lata:- O sajna.. mera haar singhaar tumhi ho
Mera dum hai tumhare hi dum se
Hemant:- Tum shama ho to main hoon parwana
Lata:- Aisi meethi meethi baatein karke kahan seekha hai dil ka lagana
Hemant:- O jane jaan..
Ek Baar Zara Phir Kahdo Mujhe sharmake tum diwana
Lata:- mmmhh..
Hemant:- Suno dilbar yeh jo deep khushi ka jala hai
mera pyar isi mein dhala hai
Lata:- Mera dil bhi piya leke tumhara sahara
Nayi raah pe aaj chala hai
Hemant:- Diya hai tumhi ne umeedon ko thikana
Lata:- Aisi meethi meethi baatein karke kahan seekha hai dil ka lagana
Hemant:- O jane jaan..
Ek Baar Zara Phir Kahdo Mujhe sharmake tum diwana
Lata:- mmmhh..
Hemant:- Tum chaho to main tod ke laadoon sitare
Ki ho tum mujhe jaan se pyare
Lata:- Kya maangoon jab mil gaye tum mujhe sajna
Main to aa gayi bas mein tumhare
Hemant:- Mera dil hai tumhara nazrana
Lata:- Aisi meethi meethi baatein karke kahan seekha hai dil ka lagana
Hemant:- Ek Baar Zara Phir Kahdo Mujhe sharmake tum diwana
PREVIOUS SONG� � � � �
NEXT SONG
BACK
CONTENTS