|

My Collection
Kaun Kehta Hai Mohabbat Ki Zubaan Hoti hai
Yeh Haqeeqat tou Nigaahon se bayaan hoti hai
     
Husnay shama likhoon ya Sitaraa likhoon
Humdum likhoon, Saathi likhoon ya Khuwaab likhoon
Tere sarapay pe heraan houn main
Ma-jabeen likhoon, Sahar likhoon ya Aftaab likhoon
Teri zulf jo chupati hai chahra tera
Eesay raqeeb likhoon, Nagin likhoon ya Nikaab likhoon
Nazar Uta kar jo chal diye hain jo app
Be rokhi likhoon, Be wafaa likhoon ya Hayah likhoon
Khatam howa jata hai mera zakhira-e-alfaaz
Dil tu chahta hai teri tareef be hisaab likhoon
Sangay Marmar Se....
Sangay marmar se tarasha hua ye shukh badan
Itna dil kash hai ke apnanay ko ji chahta hai
Surkh honton mein terkti hai ye rangeen sharaab
Jisay pe kar bhahak janay ko ji chahta hai
Naram seenay mein darktay hain woh nazuk tufaan
Jin ki lahroon mein utar janay ko ji chahta hai
Apnay hath say sanwaraaa hai tujhe Qudrat nay
Dekh kar dekhtay rah janay ko ji chahta hai
Maray daman ko aur koi na cho paye ga
Tum ko cho kar ye kasaam khanay ko je chahta hai
Tujh say rishta hai kab say hai maloom nahi
Phir bhi is husn par mit janay ko je chahta hai
Aaaj ki Raat
Aaj ki
raat nahin shikwey, shikayat ke liyey
Aaj hur lamha, hur aik pal hai Mohabbat ke liyey
Reshmi saij hai, mehki hui Tanhaai hai
Aaaj ki Raat muraadon ki Baraat aai hai
hur Gunaah aaj Muqaddas hai Farishton ki tarha
Kaanptey haathon ko mil jaaney do Rishton ki tarha
Aaj milney mein na uljhan hai, na ruswaai hai
Aaaj ki Raat muraadon ki Baraat aai hai
Apni zulfein merey Shaaney pe bikher jaaney do
Iss haseen raat ko kuch aur Nikher jaaney do
Subha ne aaj Na aaney ki Qasam khaai hai
Aaaj ki Raat muraadon ki Baraat aai hai
KYA THA
Khawab thaayaa Khayyal tha kya tha
hijr tha yaa visaal thaa kya tha
chamakii bijalii sii par na samajhe ham
husn tha yaa jamaal thaa kyatha
jis ko ham roz-e-hijr samajhe the
maah tha vo ke saal tha kya tha
'Mussafi' kal jo chup saa baithaa tha
kya tujhe kuchh malaal thaa kya tha
TEREY
HONTON(LIPS)
KO SALAAM
Terey
honton
ko salaam
Terey honton
ko salaam
Jinn se chhoo jaaney ko tarsey kai saaghar, kai jaam
Inn gulaabon pe jaley jab se tabbassum ke diyey
Theek uss din se meri pyaas bujhaaney ke liyey
Terey honton
ke kinaarey hain merey dil ka qayaam
Tu jab in honton
ko daanton mein daba leti hai
Teri yeh chup kissi toofaan ka pata deti hai
Pyaas jo inn mein chupi hai, issey kardey merey naam
Mein bhi pyaasa hoon,buhut pyaas lagi hai mujh ko
Teri umeed ,teri aas lagi hai mujh ko
Kab karein gey merey
honton
se ,terey
hont
kalaam
Terey honton
ko salaam
Terey honton
ko salaam
Jinn se choo jaaney ko tarsey kai saaghar ,kai jaam
TOP
Ghazzal
kabhi kitaabon main phool rakhana
kabhi darakhton pe naam likhana
hamein bhi hai yaad aaj tak woh
nazar se harf-e-salaam likhana
woh chaand chehare woh bahaki batein
sulagate din the mahakati ratein
woh chote chote se kaagazon par
muhabbaton ke payaam likhana
gulaab chehron se dil lagaana
woh chupke chupke nazar milaana
woh arazuon ke Khawab bunana
woh qissa-e-naatamaam likhana
mere nagar ki hasin fazaon
kahin jo un ke nishaan paaon
to puchana ye kahan base ho
kahaan hain un kaa qayaam, likhana
gayi ruton main "Hasan" hamaara
bas ek hi to ye mashagalaa tha
kisi ke chehre ko subah kahana
kisi ki zulfon ko shaam likhana
TERA CHEHRA
Jab se dekha hai maine yeh chehra tera
Chehra aur koi bhaya nahin
Jab se dil mein basi hai tu jaaneman
Khayalon mein bhi koi aaya nahin
Aankhon aankhon mein raten guzar jathi hai
Yaad ka kya hai yeh har pehar aathi hai
Bhool gaye khud ko hum toh tumhare liye
Ek pal bhi tumhe par bhulaya nahin
Jab se dekha hai maine yeh chehra tera
Chehra aur koi bhaya nahin
Jab se dil mein basi hai tu janeman
Khayalon mein bhi koi aaya nahin
KUNGAN
kaash mein terey haseen haath ka kungan hota
Tou barey chao se, barey maan ke saath
apni nazuk si kalaai mein charhati mujh ko
aur betaabi se furqat ke khizaan lumhoon mein
Tou kissi soch mein doobi jo ghumaati mujh ko
Mein terey haath ki khusboo se mehek sa jata
Jab kabhi mood mein aa kar mujhey chooma karti
Terey honton ki mein hiddat se dehek sa jata
Raat ko jub bhi tou neendon ke safar par jati…
Murmareen haath ka ek takiya banaya karti
Mein terey kaan se lug kar kai baatein karta
Teri zulfon ko terey gaal ko chooma karta
Jub bhi tu bund qaba kholney lugti janaan
Apni aankhon ko terey husn se kheera karta
Mein teri rooh ke gulshan mein mehekta rehta
Mein terey jissem ke aangan mein khanakta rehta
Kuch nahin tu yahi be-naam sa bandhan hota
Kaash mein terey haseen haath ka kungan hota
Kaash mein terey haseen haath ka kungan hota
Ghazzal
Suna Hai Loug "Ussey" Aankh bhur ke dekhtey hain
So "Uss" ke Sheher mein kuch din theher ke dekhtey hain
Suna hai boley tou baaton se phool jhartey hain
yeh baat hai tou chalo baat kar ke dekhtey hain
Suna hai Raat ko ussey Titliyaan sataati hai
Suna hai Raat ko Jugnoo theher ke dekhtey hain
Suna hai uss ke badan ki taraash aisi hai
ke phool apni qabaaein katar ke dekhtey hain
Rukey tou gardishein uss ka tawaaf karti hain
chaley tou uss ko zamaaney theher ke dekhtey hain
Kissey naseeb ke be-pairahan ussey dekhey
kabhi kabhi dar-o-deewaar ghar ke dekhtey hain
kahaaniyaan hi sahi , sab mubaalghey hi sahi
agar "woh" khawaab hai , "Taabeer" kar ke dekhtey hain
Judaaiyaan tou muqadder hai phir bhi jaan-e-safar
kuch aur door zara saath chal ke dekhtey hain
"Toou" saamney hai tou phir kiyon yaqeen nahin aata
yeh baar baar jo aankhon ko mal ke dekhtey hain
yeh kaun loug hain maujood teri mehfil mein
jo Laalachon se Tujhey ....Mujh ko jal ke dekhtey hain
Na tujh ko maat hui hai na mujh ko maat hui
So Ab ke donon hi chaalein badal ke dekhtey hain
Buhut dinon se nahin hai kuch "Uss" ki khair khabar
chalo Faraaz ko, Aey Yaar chal ke dekhtey hain
TOP
Jhumka
Kaash mein terey Kaan ka Jhumka Hota
Raat ko be-khabri mein jo machal jaata Mein
Tu tery kaan se chup chaap nikal jaata Mein
Subah ko girtey teri zulfon se jub Baasi phool
merey kho jaaney pe hota tera Dil kitna malool
Toou mujhey dhoondti kiss shauq se ghabraahat mein
apney mehkey huey bister ki hur aik sliwat mein
Kaan se, Toou mujhey hurgiz naa utaara karti
Toou kabhi meri judaai na gawaara karti
Aik Shaam Aisi Ho
Aik sham kabhi tu aisi ho
jis sham main hum tum tanha hoon
jis sham ki yaad rahe barsoon
har lamha jis ka apna ho
jahan phool mehktay lafzoon ke
jahan rang damaktay lafzoon ke
jis sham ke dhaltay saye main
wo pass humaray aye hoon
khuabon ko chupa kar ankhoon main
khusboo ko basa ka sansoon main
duniya ke ghamoon ko bholain hum
aik bar tujhe jab cholain hum
aik sham kabhi tu aisi ho
ACHA LAGA
Bheer mein aik ajnabi ka saamna acha laga
sab se chhup kar woh kissi ka dekhna acha laga
Surmai Aankhon ke neechey phool se khilney lagey
kehtey kehtey kuch kissi ka sochna acha laga
baat tou kuch bhi nahin thi laiken "uss" ka aik dum
haath ko honton pe rakh kar rokna acha laga
Chaa'ey mein cheeni milaana uss ghari bhaaya buhut
zair - e lab woh muskuraata "shukria" acha laga
Dil mein kitney aehed baandhey thay bhulaaney ke ussey
woh mila tou sab iraadey torna acha laga
Uss udoo - e - jaan ko bura kaisey kahoon
jab bhi Aaya saamney woh be-wafa acha laga
Barson ke baad
Barson ke baad dekha, Aik shakhs Dilruba saa
Ab zehen mein naheen hai , per naam tha bhala saa
Ubroo khichey khichey sey, Aankhain jhuki jhuki see
Baatein ruki ruki see , Lehja thaka thaka saa
Alfaaz thay ke Jugnoo, awaaz ke safar mein
Bun jaaey jungalon mein jaisey ke Raasta saa
Khawabon mein khawab Uss ke, Yaadon mein yaad uss ki
Neendon mein ghul gaya ho jaisey ke rat-jaga saa
Pehley bhi zindagi mein, kitney hee loug aaey
Woh her tarha sey lekin, auron sey tha juda saa
Agli muhabboton ne, woh na-muraadian deen
Taaza Rifaaqaton sey, Dil tha dara dara saa
Kuch yeh ke muddaton se, Hum bhi nahi thay roey
Kuch zeher mein bujha tha, ahbaab ka dilaasa
Ab such kahein tou yaaro, Hum ko khaber naheen thi
Bun jaaey ga qayamat, Aik waaqaya zara saa
Tewer thay berukhi key, andaaz dosti key
Woh ajnabi tha laikin, lagta tha Aashna saa
TOP
Tumhari Aarzo
Tumhari Aarzo Ki Hai Kabhi Manga Hai Jo Rab Se
Merey Hontoon Pe Rahti Ho Meri Jaan Tum Dua Ban Kar
Tumhare Khuwab Main Dhaikhon Tumhein Main Raat ban kar
Ager Yeh Juram Hai Jana! To Aa Jana Saza Ban Kar
Kaho To Aaj Batla
Doon Tumhein Kiun Dhaikhta Hoon Main
Jo Aati Ho Aadaon Se To Jati Ho Qaza Ban Kar
Faseel-e-jaan Ager
Sir Ho To Pohnchein Terey Koochey Main
Teri Chokhtat Pe Ja Bhaithoon Muhbbat Ka Gadha Ban Kar
Yeh Chara Ger Bhala Kaisey Merey Is Marz Ko Samjhein
Main Bemar-e-muhabbat Hoon Tum Aa Jao Shafa Ban Kar
Mujhe Kamil Yaqeen Hai Tum Meri Ho Jao Gi Aik Din
Tumharey Dil Main Utroon Ga Muhabbat Ki Sada Ban Kar
Merey Josh-e-janoon Per Sari Khalqat Muj Ko Takti Hai...
Zara Tum Bhi Nazer Dalo Na Bhaitho Yun Khuda Ban Kar...
Tumhein Yeh Raaz Batla Doon K Akser Chaand Ratoon Main
Terey Aangan Main Aata Hoon Sitaroon Kia Zaya Ban Kar
Jiger Ka Khoon Laya Hoon Terey Singhar Ki Khatir
Hathaili Per Racha Laina Yeh Mahkey Ga Hina Ban Kar
Tumhein Jab Yaad Karta Hoon To Kaisey Jaan Sulagti Hai.
Tumhein Bhi Tars Aaye Ga Kabhi Socho Raza Ban Kar
Teri Aarzo
Tumhari Aarzo Ki Hai Kabhi Manga Hai Jo Rab Se
Merey Hontoon Pe Rahti Ho Meri Jaan Tum Dua Ban Kar.
Tumharey Khuwab Main Dhaikhoon Tumhein Main Raat Din Soochoon
Ager Yeh Juram Hai Jana! To Aa Jana Saza Ban Kar
Kaho To Aaj Batla Doon Tumhein Kiun Dhaikhta Hoon Main
Jo Aati Ho Aadaon Se To Jati Ho Qaza Ban Kar
Faseel-e-jaan Ager Sir Ho To Pohnchein Terey Koochey Main
Teri Chokhtat Pe Ja Bhaithoon Muhbbat Ka Gadha Ban Kar
Yeh Chara Ger Bhala Kaisey Merey Is Marz Ko Samjhein
Main Bemar-e-muhabbat Hoon Tum Aa Jao Shafa Ban Kar
Mujhe Kamil Yaqeen Hai Tum Meri Ho Jao Gi Aik Din
Tumharey Dil Main Utroon Ga Muhabbat Ki Sada Ban Kar
Merey Josh-e-janoon Per Sari Khalqat Muj Ko Takti Hai
Zara Tum Bhi Nazer Dalo Na Bhaitho Yun Khuda Ban Kar
Tumhein Yeh Raaz Batla Doon K Akser Chaand Ratoon Main
Terey Aangan Main Aata Hoon Sitaroon Kia Zaya Ban Kar
Jiger Ka Khoon Laya Hoon Terey Singhar Ki Khatir
Hathaili Per Racha Laina Yeh Mahkey Ga Hina Ban Kar
Tumhein Jab Yaad Karta Hoon To Kaisey Jaan Sulagti Hai
Tumhein Bhi Tars Aaye Ga Kabhi Socho Raza Ban Kar
Ghazzal
tum chup rahe payaam-e-muhabbat yahi to hai
aankhen jhukeen nazar ki qayaamat yahi to hai
mahafil main luog chaunk pare mere naam par
tum muskuraa diye meri qimat yahi to hai
tum puchate ho tum ne shikayat bhi nahi ki kabhi
sach puchiye to mujh ko shikaayat yahi to hai
vaade the beshumaar magar aay mizaaj-e-yaar
ham yaad kya dilayein nazaakat yahi to hai
mere talab ki had hai na tere atah ki had
mujh ko tere karam se nidaamat yahi to hai
Sandal Kar Do
Apnay ahsah say choo ker mujhay Sandal ker do
Kay main Sadion say adhoora hon Mukamil ker do
Na tumahin hosh rahay na Mujhay hosh rahay
Is qadar toot kay chaho kay Pagal ker do
Tum hathaili ko meray payar ki Mahndi say Rango
Apni Ankhon main Meray naam ka Kajal ker do
Dhoop hi dhoop hon main, Toot kay berso mujh per
Main to Sahra hon , Mujhay payar ka Badal ker do
Us kay say main meray Khowab mahak Uthain gay
Meray chahray per Umeedon bhara Anchal ker do
Apnay honton say koi mohar Lagao mujh per
Aik Nazar payar say Dekho kay Ghayal ker do
TOP
Mohabbat ke liyey kuch khaas Dil makhsoos hotey hain
Yeh woh naghma hai, jo hur saaz pe gaaya nahin jaata
|