pyar karna nahin aata bahut anjaan hoon main.
na aashiq hoon , na mashooq hoon , sirf insan hoon main.
meri arthi nikli , peeche sara jehan nikla.
par woh na nikle jinke peeche mera dum nikla
dikhabe ke hain yeh duniya ke mele.
bhari duniya mein hum rahe hain akele.
chand mein noor hai , chandni pe guroor hai
hum jis pe guman kar sake , woh chand humse door hai
kadam-kadam pe mohabbat ne paon roke the
watan ko chor ke aana koi majak naihn
tum paas nahin to maja zindgi ka kya
jeete nahin hai saans liye ja rahe hai hum.
agar choot gaye karwan se to kya gam
kabhi shamil-e-karwan bhi rahe hain hum.
aafat hai woh naaj bhi andaj bhi lekin,
marta hoon jispe woh ada aur hi kuch hai.
saharon ne loota , pyaron ne loota
mujhe loota , mere hi yaaron ne loota
patta - patta , boota - boota haal hamara jane hai.
jane - na - jane , gul hi na jane baag to sara jane hai