Zindagi Husn Hai, Ranai Hai, Dildari Hai,
Yeh Haqeqat Meray Khuwabon Ki Tarah Pyari Hai

Hasne Ki Chah Ne Itna Mujhe Rulaya Hai,
Koi Hamdard Nahi, Dard Mera Saaya Hai

Jis Ko Pooja Tha Is Dil Ne, Usne He Dil Tor Diya,
Gairon Ki Baaton Mein Akay Humko Akelay Chor Diya

Dil Kay Rishtay Ajeeb Hotay Hain,
Koi Koi Dil Kay Kareeb Hotay Hain,
Meri Tanhai Ka Zikar Na Kiya Kar,
Apne Apne Naseeb Hotay Hain

Tanha Tanha Kaisay Zindagi Guzarain,
Sunlo..Sunsako Toh Tumko Anso Pukarain.

Dosti Dariya Hai, Dosti Kinara Hai,
Dosti Duniya Mein Jenay Ka Sahara Hai.

Duniya Ne Ghum Sehnay Kay Tarekay Sekha Deay,
Humara Ghum Hadh Se Barha Toh Hum Muskura Deay

Khelo Toofanon Ki Lehron Se, Kinaron Se Nahi,
Manzilain Milti Hain Himat Se Saharon Se Nahi

Har Ek Ko Buri Nazar Se Na Dekho,
Kyon Kay Har Chehra Kisi Ka Mehbob Hai

Badla Wafa Ka Dain Gay Badi Sadgi Se Hum,
Tum Humse Rooth Jao Gay Or Zindagi Se Hum

Gham Zindagi, Gham Bandagi, Gham Do Jahan, Gham Jadvan,
Meri Har Nazar Teri Muntazir,Teri Har Nazar Mera Imtihan

Ek Jhoonka Sar Shaam Aya,
Mein Samjha Tera Pegaam Aya

Jub Koi Tumko Pyar Se Bulay Ga,
Tumko Ek Shaks Yaad Aay Ga

Kyon Baat Baat Pe Mera Imtihan letay Ho,
Tum Toh Meri Jaan Ho, Kyon Meri Jaan Letay Ho

Kuch Or Toh Khuda Se Nahi Chahtay Hain Hum,
Tumse Juda Na Hon Buss Yeh Dua Mangtain Hain Hum

Judaion Ki Raaton Ka Khumar Baqi Hai,
Woh aa Chuke Hain Magar Intezar Baqi Hai

Umar Katay Gi Kisay Saif Yahan
Raat Katti Nazar Nahi Atti

Hum Aah Bhi Bhartain Hain Toh Ho Jatain Hain Badnam,
Woh Kataal Bhi Kardain Hain Toh Charcha Nahi Hota



Back To The First Page
By, Nida Monis
HOME
Hosted by www.Geocities.ws

1