Kuchh na kisi se bolenge, tanhaaii mein ro lenge
hum be-rahabaron ka kyaa, saath kisi ke ho lenge
Khud to hue rusvaa lekin, tera bhaid na kholenge
jeevan zahar bharaa saagar, kab tak amrit gholenge
neend to kya aaegii 'Faraz', maut aai to so lenge.....
Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke
liye aa
aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa.......
Pahale se maraasim na sahii phir bhi kabhi tou
rasm-o-rahe duniya hi nibhane ke liye aa....
Kis kis ko batayenge judaai ka sabab ham
tu mujhse khafaa hai tou zamaane ke liye aa .........
kuch tou mere pindaar-e-mohabbat ka bharam rakh
tu bhi to kabhi mujh ko manaane ke liye aa.....
ek umr se hoon lazzat-e-giriyaa se bhi maharuum
aye raahat-e-jaan mujh ko rulaane ke liye aa...
ab tak dil-e-khushfeham ko tujh se hain ummiden
ye aakharii shammen bhi bujhaane ke liye aa
....Ahmed faraz
kuchh na kisi se bolenge
tanhaaii mein ro lenge
hum be-rahabaron ka kyaa
saath kisi ke ho lenge
Khud to hue rusvaa lekin
tera bhaid na kholenge
jeevan zahar bharaa saagar
kab tak amrit gholenge
neend to kya aaegii 'Faraz'
maut aai to so lenge.....Ahmed Faraz
Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hain...
Yeh haqeeqat to nigahon say bayan hoti hain
Woh na aaye tou satati hai khalish see dil ko...
Woh jo aaye to khalish aur jawan hoti hain
Rooh ko shaad karey dil ko jo purnoor karey...
Har nazaaray mein yeh tanveer kahan hoti hain
Sabt-e-sehlaabay mohabbat ko kahan tak rokay...
Dil mein jo baat ho aankho say ayaan hoti hain
Zindagi ek sulgati see chita hai `Sahir'...
Shola banti hain na yeh bhuj kay dhuaan hoti hain
Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hain
Yeh haqeeqat to nikhaon say bayan hoti hain
Aisa lagta hai zindagi....
tum ho Ajnabee, kaise ajnabee tum ho?
Main zameen par ghana andhera hoon...
Aasmaanon-ki chandni tum ho
Ab koi aarzoo nahin baaki.........
justajoo meri aakhri tum ho
Doston-se wafa ki ummeeden!........
Kis zamaane ke aadmi tum ho?
Tu kahin bhi rahe sar pe tere ilzaam to hai
tere haathon ki lakiiron mein mera naam to hai .......
Mujhko tu apnaa bana ya na bana teri Khushi
tu zamaane mein mere naam se badnaam to hai .....
Mere hisse mein koi jaam na aayaa na sahi
teri mehfil mein mere naam koi shaam to hai ....
Dekh kar log mujhe naam tera lete hain
is pe main Khush hoon muhabbat ka ye anjaam to hai .....
Woh sitamagar hi sahi dekh ke usko "Sabir"
shukr is dil-e-bimaar ko aaraam to hai ...Sabir
Jalalabadi
Badanaam mere pyaar kaa
afsana hua hai
deewane bhi kahte hain ki deewana hua hai ........
Rishta tha tabhi tou kisi be-dard ne todaa
apnaa tha tabhi tou koi be-gaanaa hua hai ........
Baadal ki tarah aake baras jaaiye ik din
dil aap ke hote huye viraana hua hai ....
Bajte hain Khayaalon mein teri yaad ke ghunghroo
kuch din se mera ghar bhi pari-Khaanaa hua hai .....
Mausam ne banaya hai nigaahon ko sharaabi
jis phool ko dekhun wahi paimana hua hai ...
Apne haathon se yun chehre
ko chhupaate kyon ho,
mujh se sharmaate ho tou saamne aate kyon ho,
Tum kabhi meri tarah kar bhi lo ikraar-e-vafa,
pyaar karte ho tou phir pyaar chupaate kyon ho,
Ashk aankhon mein meri dekh ke rote kyon ho,
dil bhar aataa hai tou phir dil ko dukhaate kyon ho,
In se vaabastaa hai jab mera muqaddar phir tum,
mere shaanon se ye zulf hatate kyon ho,
Roz mar mar ke mujhe jeene ko kahte kyon ho,
milne aate ho to phir laut ke jaate kyon ho ...
Dost ban ban ke mile mujhko mitaane vaale
mai ne dekhe hain kai rang badalane vaale ........
Tumne chup rahkar sitam aur bhi dhaayaa mujh par
tumse acche hain mere haal pe hansne vaale...
Mai tou ikhlaaq ke haathon hi bikaa kartaa hoon
aur honge tere baazaar mein bikne vaale ......
Aakhrii daur pe salaam-e-dil-e-muztar le lo
phir naa lautenge shab-e-hijr pe ronevaale ...Saeed
rahi
Bhoolne waale se koyi keh de zara
is tarah yaad aane se kya faaida,
Jab mere dil ki duniya basaati nahin
phir khayaalon mein aane se kya faaida
Kya kahoon aapse kitni umeeden thi
Aap kya badle duniya badal si gayi,
Aasra de ke dil tod te hain mera
Is tarah sataane se kya faaida,
Chaar tinke jala ke kya mil gaya
Mit sakana zamane se mera nishaan,
Mujhpe bijli girao to jaanu sahi
Aashiaan par girane se kya faaida
Bebasii jurm hai hauslaa jurm hai
zindagi teri ik-ik adaa jurm hai
aye sanam tere baare mein kuch sochkar
apne baare mein kuch sochna jurm hai
yaad rakhna tujhe mera ek jurm tha
bhool jana tujhe doosra jurm hai
kya sitam hai ke tere hasin shehar mein
har taraf gaur se dekhna jurm hai
Sheeshe ke gharon main
dekho to
Putther dil wale buste hain
Jo pyar ko khail samajhte hain
Aur tor ke dil ko haste hain
Gar hota woh saqi apni aankhon ke
jaam ka
Gar milta na saqi sharab-e-haraam ka
Kiya ittefaaqat ne mujh ko barbaad wagarna
Naam apna bhi hota aala muqaam ka
Aur bhi
cheezain bohot si lutt chukin hain dil kay saath
Yeh batayaa doston ne ishq furmane kay baad
Ab kamray ki ek ek cheez check karta hoon main
Ek tere aane se pehley, ek tere jaane kay baad
Kaate nahi kat
te hain lamhe intezaar ke
Nazarein jama ke baithe hain raste pe yaar ke
Dil ne kaha dekhein jo jalwe husn-e-yaar ke
Layaa hai koun inko, phalak se utaar ke
Ishq ke lamhe
sharaab lagte hain
Kuch chehre mehtaab lagte hain
Dukh itne sahe mohabbat main guzre hue
Ke har lamhe hi azaab lagte hain
Daastaan-e-gham-e-dil unko
sunaii na gayi
baat bigdii kuchh aisii ki banaii na gayi
Sab ko ham bhool gaye josh-e-junoon mein lekin
ek teri yaad thi aisi ki bhulaai na gayi
Ishq par kuchh na chalaa dida-e-tar ka jaadoo
usne jo aag lagaa di woh bujhaai na gayi