Zindagi Ki Raahon Mein Aise
Mod Bhi Aate Hain
Saawan Ke Saath-Saath Yehan Patjad Bhi Aate Hain
Aasuwon Ke Saagar Mein Moti Bhi Milthe Hain
Jo Unhe Doond lete hain, Wahi Zindagi Jee Lete Hain.
Waqt Ke Saath Badal Jaaye
Use Pyaar Nahi Kehte
Musibat Se Jo Darr Jaaye
Use Yaar Nahi Kehte
Baat karni mujhe mushkil
kabhi aisi to na thi
jaisi ab hai teri mehfil kabhi aisi to na thi
le gaya cheen ke kaun aaj tera sabr-o-qarar
be-qaraari tujhe ae dil kabhi aisi to na thi
Bhoolne waale se koyi keh de zara
is tarah yaad aane se kya faaida,
Jab mere dil ki duniya basaati nahin
phir khayaalon mein aane se kya faaida
Kya kahoon aapse kitni umeeden thi
Aap kya badle duniya badal si gayi,
Aasra de ke dil tod te hain mera
Is tarah sataane se kya faaida,
Chaar tinke jala ke kya mil gaya
Mit sakana zamane se mera nishaan,
Mujhpe bijli girao to jaanu sahi
Aashiaan par girane se kya faaida
Ruth gya hai mujhko manane waala
Ab koi nahi naaz mera uthaane wala
Per jaane kya sonchta hai
Yeh khula darwaaza
Shayad rasta bhool gaya, aaane waaala
Rait par likh ke
mera naam mitaya na karo
aankhen sach bolti hain, pyaar chupaya na karo
log har baat ka afsana bana lete hain
sab ko haalaat ki rudaad sunaya na karo
ye zaroori nahin har shakhs masiha hi ho
pyaar ke zakhm amaanat hain dikhaya na karo
shahar-e-ehsaas mein pattharaav bahut hain "Mohsin"
dil ko shiishe ke jharonkhon mein sajaaya na karo
Humne kitni koshish ki unhe
manane ki,
Na Jaana Kaha se seekh li unhone
Yeh Ada Zidd par utar jaane ki.
Mera Ikraar Tere Inkaar Se
Behatar Hoga
Mera Din Bhi Teri Raat Se Behatar Hoga
Yakeen Nahin To Dolee Se Jhankke Dekhna
Mera Janazaa Teri Baaraat Se Behatar Hoga
Mere Honton ke mehaktay hue
naghmo par na ja
Mere seenay main kaye aur bhi ghum paltay hain
Mere chehray par dikhaway ka tabassum hai magar
Meri aankhon main udaasi kay diye jalte hain
Rukta bhi nahi, theek se
chalta bhi nahi
Yeh dil hai kay tere baad sambhalta hi nahi
Is umar key sehra say teri yaad ka baadal
Talta bhi nahi aur barasta bhi nahi
Daastaan-e-gham-e-dil unko
sunaii na gayi
baat bigdii kuchh aisii ki banaii na gayi
Sab ko ham bhool gaye josh-e-junoon mein lekin
ek teri yaad thi aisi ki bhulaai na gayi
Ishq par kuchh na chalaa dida-e-tar ka jaadoo
usne jo aag lagaa di woh bujhaai na gayi
Mana teri nazar mein tera
pyaar hum nahi,
kaise kahen ki tere talabgaar hum nahi,
Khud ko jala ke khak kar dala, mita diya,
lo ab tumhari raah mein dewaar hum nahi,
Jis ko sanwara humne tamannaon ke khoon se,
gulshan mein us bahar ke haqdaar hum nahi,
Dhokha diya hai khud ko muhobbat ke naam se,
kaise kahen ki tere gunahgaar hum nahi.....
Koi ummeed bar nahin aati
Koi soorat nazar nahin aati
maut ka ek din muayyan hai
need kyon raat bhar nahin aati
aage aati thi hale dil pe hansi
ab kisi baat par nahin aati
janta hoon sababe-taato-zahad
par tabeeat idhar nahin aati
Hai kuchh aisi hi baat
jo chup hoon, varna kya baat kar nahin aati
kyon na cheehkoon ki yaad karte hain
meri awaaz gar nahin aati
marte hain aarzoo me marne ki
maut aati hai par nahin aati
kaba kis munh se jaoge Ghalib
sharm tumko magar nahin aati
Aye mohabbat tere anjaam pe rona aaya,
Jaane kyun aaj tere naam pe rona aaya..
Yun to har shaam ummeedon me guzar jaati thi,
Aaj kuch baat hai, jo shaam pe rona aaya..
Kabhi taqdir ka maatam, kabhi duniya ka gila,
Manzil-e-ishq me har gaam pe rona aaya...
Jab hua zikr zamaane me mohabbat ka
Mujhko apne dil-e-bekaam pe rona aaya.....
Koyi dost hai na koi rakeeb
hai
Tera shaher kitna ajeeb hai
Yahan kiska chehra pada karoon
Yahan kaun itna qareeb hai
Main kis se kahoon mere saath chal
Yahan sab kay sar par saleeb hai
Aaj ujaali ki kiran kho gayi
zindagi veraan se ho gayi,
gaye woh din
jab humne unse umeed rakha
Aaj yeh khoob ho gaya
ki humain mohabbat se nafrat ho gayi
Is hasrat se mila kya mujhko
Ik jhalak mere dildaar ki
Is muhabbat se mila kya mujhko
Bechaini-o-beqarari yaar ki,
Is ashiqui se mila kya mujhko
Ik sunahari raah ishq ki,
Aur tere pyaar se mila kya mujhko
Ik raah jeene ki hamvaar si.
Na jee bhar ke dekhaa na
kuch baat ki,
badi aarzoo thi mulaqaat ki,
Kaye saal se kuch Khabar hi nahin,
kahaan din guzaaraa kahaan raat di,
Main chup tha tou chalti hawa ruk gayi,
zubaan sab samajhte hain jazbaat ki,
Sitaaron ko shaayad khabar hi nahin,
musaafir ne jaane kahaan raat ki...
Chaman ki bahaaron mein tha aashiyana
na jaane kahan kho gaya vo zamana
tumhen bhuulane ki main koshish karunga
ye vaada karo ke na tum yaad aana
mujhe mere mitne ka gam hai to ye hai
tumhen bevafaa kah raha hai zamana
Khudara meri qabr pe tum na aana
tumhen dekh kar shaq karega zamana