| Chehre pe mere rung pareshaniyon ka hay Darya main sara zor he tughyaniyon ka hay Saahil jo kat ke girtay hain durya kee goad main kya yeh qusoor behtay huay paniyon ka hay Khud rahbran-e-qom hain aalayeshon main gum Hum say magar matalba qurbaniyon ka hay Ehbab mere is terha mujh pur hain tana zun Jaisay khuloos naam he nadaaniyon ka hay Kuchh khof-e-ihtsaab nah sood-o-ziyan ka dur Yeh fa-eda to besar-o-saamaniyon ka hay Insaan nahin hay ko-ee bhee sa-aye zaroor hain Munzur hur aik shehr main veeran-yon ka hay (Tesha-e-Karb) |
![]() |
| Copyrights (c) Reserved by Author |