| Aankh barsi hai tere naam peh sawan kee tarha Jism sulga hay teri yaad main eendhan kee tarha Loryan dee hain kisi qurb kee khwashish nay mujhe Kuchh jawanee kay bhee din guzray hain bachhpan kee tarha Is bulandi say mujhe tu nay nwaza kwon tha Gir kay main toot gya kaanch kay bartan kee tarha Mujh say milte huay yeh baat bhee sochee hoti Main tere dil may sama jaoonga dharkan kee tarha Ab zulaikha peh nah ilzaam lage ga koee Us ka daman bhee dareeda mere daman kee tarha Muntazir hai kisi mukhsoos see aahat kay liyay Zindagi baithee hai dehleez peh birhan kee tarha Nah koi raah ujaali, nah shabistaan main jala Timtimaata hoon charagh-e-sar-e-madfan kee tarha |
![]() |
| All Copyrights (C) Reserved by the Author |