| Badan main jaag utheen kapkapaa.hatain kaisee Main sun raha hoon yeh farda kee aahatain kaisee Makeen ko yaad hazeemat kee daastan hay mager To us kay ghar main hain yeh jagmagaa.hatain kaisee Shikest-e-dil ka jo ehsaas ab bhi zinda hay To phir yeh honton peh hain muskraa.hatain kaisee Wujood toot raha ho to kaisee naghma garee Jo dil sukoon say no ho, gungunaa.hatain kaisee Faraz-e-dar mugaddar banay keh zehr ka jaam Diyar-e-shoq main ab hichkichaa.hatain kaisee Qubool-e-aam ka mansub jo mairay fun ko mila To Doston ko hueen tilmilaa.hatain kaisee Samajh kay sang jisay chhoo liya badun to nah tha Ragon main daurd gaeen sarsaraa.hatain kaisee Murtaza Birlas (Irta'ash) |
| Copyrights Reserved (C) By Author |