| Yad aaye jo maazi kay haalat, bahut roya Main chand nikaltay hi kal raat bahut roya Sawan ki ghata jaisay barsi mri aankhoon say Main ab kay baras poori barsaat bahut roya Naghmai hui rut mein koi to sabub hoga Socho kay main kyun aakhir bin baat bahut roya Guldan sajanay ko jab koi kali tori Hur shakh bahut cheekhi hur paat bahut roya Main sarfe nazar karta kab tak gham-e-furqat say Jab hogaye bay qaboo jazbat bahut roya Tum kaash samajh saktay us zabt kay paikar ko Jo hansta raha din bhar aur raat bahut roya Insaaf na ho jin mein mit jati hein who qaumein Main soch kay phir apney haalat bahut roya Murtaza Birlas |
| Copyrights (C) Reserved by Author |