| Aankh ke sotey sukhaye dil ko sehra kar diya Zabt-e-gham nay ab humara haal kaysa kar diya Hamsafar woh kya huwa keh dost bhi dushman huye Is rifaqat nay hamain to aur tanha kar diya Roshni ke jashn ka armaan tha so yun hua Kheergi itni barhi kay shehr andha kar diya Aagaya bazaar main aab-e-musaffa is liye Khoon sasta ho gya pani ko mehnga kar diya Khush hai manjhi kuchh musafir beh gaye maujoon kay saath Khauf-e-gharqabi nahin ab bojh halka kar diya Apney saaye say bhi ab hai hur koi sehma hua Kya kisi aaseb ne basti pe saya kar diya Murtaza Birlas |
| Copyrights (C) Reserved by Author |